na puchho tumko aur dushman ko dil mein kya samajhta hun
na pūchho tum ko aur dushman ko dil meñ kyā samajhtā huuñ
use ullū tumheñ ullū kā maiñ paTThā samajhtā huuñ
Darūñ kyoñ vasl kī shab dhaul-dhappā hāthā-pā.ī se
ise to maiñ niyāz-o-nāz kā ragḌā samajhtā huuñ
gayā bachpan shabāb aayā buḌhāpā aane vaalā hai
magar maiñ to abhī tak aap ko bachcha samajhtā huuñ
liye jaatā hai mujh ko saath kyoñ dushman kī mahfil meñ
abe ullū ke paThThe is meñ kuchh dhokā samajhtā huuñ
bulātī hai mujhe ghar par jo tum ghar par nahīñ hote
tumhārī maañ ko tum se har tarah achchhā samajhtā huuñ
adū ke ghar se ulTā pā.ejāma pahn kar aa.e
añdherī raat hai kuchh daal meñ kaalā samajhtā huuñ
ye tum ne kyā kahā kyoñ dil lagī kī merī ammāñ se
ajī tauba karo maiñ to use ḳhāla samajhtā huuñ
jo pūchhā mujh se musht-e-ḳhāk ko tum kyā samajhte ho
to farmāyā ki istinje kā maiñ Dhelā samajhtā huuñ
shab-e-va.ada terī lauT-o-palaT se naak meñ dam hai
kabhī ulTā samajhtā huuñ kabhī sīdhā samajhtā huuñ
kisī ne un se pūchhā 'būm' ko tum kyā samajhte ho
to bole muskurā kar ullū kā paTThā samajhtā huuñ
na puchho tum ko aur dushman ko dil mein kya samajhta hun
use ullu tumhein ullu ka main paTTha samajhta hun
Darun kyon wasl ki shab dhaul-dhappa hatha-pai se
ise to main niyaz-o-naz ka ragDa samajhta hun
gaya bachpan shabab aaya buDhapa aane wala hai
magar main to abhi tak aap ko bachcha samajhta hun
liye jata hai mujh ko sath kyon dushman ki mahfil mein
abe ullu ke paThThe is mein kuchh dhoka samajhta hun
bulati hai mujhe ghar par jo tum ghar par nahin hote
tumhaari man ko tum se har tarah achchha samajhta hun
adu ke ghar se ulTa paejama pahn kar aae
andheri raat hai kuchh dal mein kala samajhta hun
ye tum ne kya kaha kyon dil lagi ki meri amman se
aji tauba karo main to use KHala samajhta hun
jo puchha mujh se musht-e-KHak ko tum kya samajhte ho
to farmaya ki istinje ka main Dhela samajhta hun
shab-e-wada teri lauT-o-palaT se nak mein dam hai
kabhi ulTa samajhta hun kabhi sidha samajhta hun
kisi ne un se puchha 'bum' ko tum kya samajhte ho
to bole muskura kar ullu ka paTTha samajhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.