pyar ki humne pakai khir aadhi rah gai
pyaar kī ham ne pakā.ī khiir aadhī rah ga.ī
bante bante dosto taqdīr aadhī rah ga.ī
anginat kar Daale bakre zab.h tū ne phāñs kar
merī baarī aa.ī to shamshīr aadhī rah ga.ī
lag ga.ī shāyad kisī ganje kī us ko bhī nazar
dekh le zulfoñ kī ye zanjīr aadhī rah ga.ī
hai laḌā.ī kā burā anjām begam dekh lo
merā DanDā aap kī kaf-gīr aadhī rah ga.ī
fikr jab se ho ga.ī hai jeb bharne kī unheñ
ab duā-e-shaiḳh kī tāsīr aadhī rah ga.ī
kyoñ na la.anat bhejūñ 'vāhid' shā.erī par maiñ bhalā
baap daadā kī jo thī jāgīr aadhī rah ga.ī
pyar ki hum ne pakai khir aadhi rah gai
bante bante dosto taqdir aadhi rah gai
anginat kar Dale bakre zabh tu ne phans kar
meri bari aai to shamshir aadhi rah gai
lag gai shayad kisi ganje ki us ko bhi nazar
dekh le zulfon ki ye zanjir aadhi rah gai
hai laDai ka bura anjam begam dekh lo
mera DanDa aap ki kaf-gir aadhi rah gai
fikr jab se ho gai hai jeb bharne ki unhen
ab dua-e-shaiKH ki tasir aadhi rah gai
kyon na lanat bhejun 'wahid' shaeri par main bhala
bap dada ki jo thi jagir aadhi rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.