qarz le kar ada nahin karte
qarz le kar adā nahīñ karte
shā.ir is ke sivā nahīñ karte
ham kisī kā bhalā nahīñ karte
kaam be-fā.eda nahīñ karte
ek shādī pe iktifā kar lo
ye ḳhatā bārhā nahīñ karte
laakh va.ada kareñge vo ham se
koī va.ada vafā nahīñ karte
sūkhe peḌoñ kī tarah ye leader
ham pe saaya zarā nahīñ karte
āsmāñ ko zamīn likhte haiñ
log jiddat meñ kyā nahīñ karte
pairvī kyā kareñge 'ġhālib' kī
muft kī jab piyā nahīñ karte
un ko shā.ir nahīñ kahūñgā maiñ
jo kisī se jalā nahīñ karte
baal billī ke mūñDhte haiñ 'rahīm'
log furqat meñ kyā nahīñ karte
qarz le kar ada nahin karte
shair is ke siwa nahin karte
hum kisi ka bhala nahin karte
kaam be-faeda nahin karte
ek shadi pe iktifa kar lo
ye KHata barha nahin karte
lakh wada karenge wo hum se
koi wada wafa nahin karte
sukhe peDon ki tarah ye leader
hum pe saya zara nahin karte
aasman ko zamin likhte hain
log jiddat mein kya nahin karte
pairwi kya karenge 'ghaalib' ki
muft ki jab piya nahin karte
un ko shair nahin kahunga main
jo kisi se jala nahin karte
baal billi ke munDhte hain 'rahim'
log furqat mein kya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.