sauda ye shairi ka hamare jo sar mein hai
saudā ye shā.irī kā hamāre jo sar meñ hai
hangāma mahfiloñ meñ hai iflās ghar meñ hai
bad-shakl hai za.iif hai dulhan to kyā huā
lākhoñ kī jā.edād bhī merī nazar meñ hai
añgrezī paḌh rahe haiñ amīroñ ke lāDle
urdu ġharīb sirf ġharīboñ ke ghar meñ hai
shādī kaheñ ise ki kaheñ umr-qaid ham
biivī hai india meñ to shauhar qatar meñ hai
murda batā ke zindoñ ko pahuñchāyā murda ghar
kitnā baḌā kamāl mire doctor meñ hai
fāqa-kashī se marte haiñ mar jaa.eñ ye avaam
shahroñ kī ḳhūb-sūratī merī nazar meñ hai
chande murīd de ke haiñ fōtpath par magar
dekho to V C R bhī murshid ke ghar meñ hai
mandāknī ke saath huuñ maiñ mahv-e-āshiqī
dekhā to merā ḳhvāb bhī Tiknī color meñ hai
ġhussa nikāltā hai jo amle pe ai 'rahīm'
afsar ajab nahīñ hai ki begam ke Dar meñ hai
sauda ye shairi ka hamare jo sar mein hai
hangama mahfilon mein hai iflas ghar mein hai
bad-shakl hai zaif hai dulhan to kya hua
lakhon ki jaedad bhi meri nazar mein hai
angrezi paDh rahe hain amiron ke laDle
urdu gharib sirf gharibon ke ghar mein hai
shadi kahen ise ki kahen umr-qaid hum
biwi hai india mein to shauhar qatar mein hai
murda bata ke zindon ko pahunchaya murda ghar
kitna baDa kamal mere doctor mein hai
faqa-kashi se marte hain mar jaen ye awam
shahron ki KHub-surati meri nazar mein hai
chande murid de ke hain footpath par magar
dekho to V C R bhi murshid ke ghar mein hai
mandakni ke sath hun main mahw-e-ashiqi
dekha to mera KHwab bhi Tikni color mein hai
ghussa nikalta hai jo amle pe ai 'rahim'
afsar ajab nahin hai ki begam ke Dar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.