tarannum mein gawayye ki tarah se tan paida kar
tarannum meñ gavayye kī tarah se taan paidā kar
na.e andāz se sheroñ meñ apne jaan paidā kar
agar tū kaanā raaja hai to andhoñ kā banā halqa
tū apnī shā.irī ke vāste maidān paidā kar
agar mash.hūr honā hai to apnī jeb kar ḳhālī
kahīñ se ġhair matbūā koī dīvān paidā kar
rakh apne haath meñ patte sharāb-o-jām chausar bhī
mire hamdam safar ke vāste sāmān paidā kar
hathelī meñ dikhā jannat murīdoñ ko hī ai murshid
haqīqat meñ hai daanā to koī nādān paidā kar
agar phD karnī ho to achchhe guide ko chun le
adab meñ degrē le kar ik nayā haijān paidā kar
hamārī shā.irī ko jāñchnā hī hai agar nāqid
to sudh-budh shā.irī kī sher kī pahchān paidā kar
jo kahlānā ho shā.ir to na kah ash.ār nā-mauzūñ
kam-az-kam shā.irī meñ vazn kī tū jaan paidā kar
'rahīm' ālām kā had-e-nazar tak ik samundar hai
ho mumkin to ḳhushī kā is meñ ik tūfān paidā kar
tarannum mein gawayye ki tarah se tan paida kar
nae andaz se sheron mein apne jaan paida kar
agar tu kana raja hai to andhon ka bana halqa
tu apni shairi ke waste maidan paida kar
agar mashhur hona hai to apni jeb kar KHali
kahin se ghair matbua koi diwan paida kar
rakh apne hath mein patte sharab-o-jam chausar bhi
mere hamdam safar ke waste saman paida kar
hatheli mein dikha jannat muridon ko hi ai murshid
haqiqat mein hai dana to koi nadan paida kar
agar phD karni ho to achchhe guide ko chun le
adab mein degree le kar ek naya haijaan paida kar
hamari shairi ko jaanchna hi hai agar naqid
to sudh-budh shairi ki sher ki pahchan paida kar
jo kahlana ho shair to na kah ashaar na-mauzun
kam-az-kam shairi mein wazn ki tu jaan paida kar
'rahim' aalam ka had-e-nazar tak ek samundar hai
ho mumkin to KHushi ka is mein ek tufan paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.