uchhalta kudta hai KHush dil-e-diwana hota hai
uchhaltā kūdtā hai ḳhush dil-e-dīvāna hotā hai
nazar ke sāmne jab jalva-e-jānāna hotā hai
mirī ḳhaslat se nā-ḳhush apnā aur begāna hotā hai
jahāñ maiñ baiTh jaatā huuñ vahīñ vīrāna hotā hai
mere kandhoñ pe rakh de sāqiyā dūkān ko apnī
jahāñ do botaleñ rakh diiñ vahī mai-ḳhāna hotā hai
sham.a kuchh phūkne ke vāste ghar par nahīñ jaatī
fidā ullū kā paTThā aa ke ḳhud parvāna hotā hai
abe saaqī nahīñ hai jaam to lā is taraf botal
zarā sī TunTunī ko toḌ duuñ paimāna hotā hai
janāb-e-shaiḳh kā is vaqt meñ khiñche koī photo
ki jab botal baġhal meñ haath meñ paimāna hotā hai
naqab kar ke churā lete haiñ ham piipe sharāboñ ke
ki jis dam band aadhī raat ko mai-ḳhāna hotā hai
shab-e-va.ada kī bāteñ tum jo kah dete ho ghar jā kar
unhīñ bātoñ kā baḌhte baḌhte ek afsāna hotā hai
uchhalta kudta hai KHush dil-e-diwana hota hai
nazar ke samne jab jalwa-e-jaanana hota hai
meri KHaslat se na-KHush apna aur begana hota hai
jahan main baiTh jata hun wahin virana hota hai
mere kandhon pe rakh de saqiya dukan ko apni
jahan do botalen rakh din wahi mai-KHana hota hai
shama kuchh phukne ke waste ghar par nahin jati
fida ullu ka paTTha aa ke KHud parwana hota hai
abe saqi nahin hai jam to la is taraf botal
zara si TunTuni ko toD dun paimana hota hai
janab-e-shaiKH ka is waqt mein khinche koi photo
ki jab botal baghal mein hath mein paimana hota hai
naqab kar ke chura lete hain hum pipe sharabon ke
ki jis dam band aadhi raat ko mai-KHana hota hai
shab-e-wada ki baaten tum jo kah dete ho ghar ja kar
unhin baaton ka baDhte baDhte ek afsana hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.