udhar tum par jo aaya meri jaan-e-jaan shabab aadha
udhar tum par jo aaya meri jaan-e-jaan shabab aadha
Wahid Ansari Burhanpur
MORE BYWahid Ansari Burhanpur
udhar tum par jo aaya merī jān-e-jāñ shabāb aadhā
taḌap uTThā idhar merā dil-e-ḳhāna-ḳharāb aadhā
abhī maiñ us ke jalvoñ se huā thā faizyāb aadhā
ki zālim ne uThā kar phir girāyā hai naqāb aadhā
dil-e-vahshī mirā do husn ke paikar meñ uljhā hai
mukammal ik javāñ hai dūsrī par hai shabāb aadhā
har ik nangā nazar aa.egā ik din dekhnā tum bhī
abhī duniyā-e-fashion meñ hai aaya inqalāb aadhā
navāzish us ne mujh ko ghar bulā kar is tarah se kī
kabhī roTī milī aadhī kabhī khāyā kabāb aadhā
visāl-e-hijr meñ us ke ye lazzat maiñ ne paa.ī hai
ki jaise koī phal ho aadhā achchhā aur ḳharāb aadhā
huā āḳhir jahāñ se gol aaj ustād-e-'vāhid' bhī
chalo achchhā huā sar se Talā yaaro azaab aadhā
udhar tum par jo aaya meri jaan-e-jaan shabab aadha
taDap uTTha idhar mera dil-e-KHana-KHarab aadha
abhi main us ke jalwon se hua tha faizyab aadha
ki zalim ne uTha kar phir giraya hai naqab aadha
dil-e-wahshi mera do husn ke paikar mein uljha hai
mukammal ek jawan hai dusri par hai shabab aadha
har ek nanga nazar aaega ek din dekhna tum bhi
abhi duniya-e-fashion mein hai aaya inqalab aadha
nawazish us ne mujh ko ghar bula kar is tarah se ki
kabhi roTi mili aadhi kabhi khaya kabab aadha
visal-e-hijr mein us ke ye lazzat main ne pai hai
ki jaise koi phal ho aadha achchha aur KHarab aadha
hua aaKHir jahan se gol aaj ustad-e-'wahid' bhi
chalo achchha hua sar se Tala yaro azab aadha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.