yun dil taras raha hai teri car dekh kar
yuuñ dil taras rahā hai tirī car dekh kar
lalchā.e jaise jaam ko mai-ḳhvār dekh kar
bālā-e-bām yā pas-e-dīvār kaun jaa.e
husn-e-butāñ ko raunaq-e-bāzār dekh kar
joḌe kā bhaav chāhiye degrē ke vazn par
qīmat baḌhā rahā huuñ ḳharīdār dekh kar
ab rickshaw-rāñ bhī gaate haiñ maḳhdūm kī ġhazal
shāyad asar huā hai ye bāzār dekh kar
donoñ kā laal ḳhuun bhī kyā ho gayā safed
laḌte haiñ log sub.ha-o-zunnār dekh kar
koī fasād chorī Dakaitī na hādisa
hairān huuñ maiñ aaj kā aḳhbār dekh kar
kis samt jā rahe haiñ batā.ūñ maiñ shaiḳh jī
andāza ho chukā hai ye raftār dekh kar
mulk-e-ḳhudā bhī tang huā pā-e-lang par
ahl-e-vatan ko bar-sar-e-paikār dekh kar
ab ai 'rahīm' aap bhī sannyās lījiye
rahrav chale hai raah ko hamvār dekh kar
yun dil taras raha hai teri car dekh kar
lalchae jaise jam ko mai-KHwar dekh kar
baala-e-baam ya pas-e-diwar kaun jae
husn-e-butan ko raunaq-e-bazar dekh kar
joDe ka bhaw chahiye degree ke wazn par
qimat baDha raha hun KHaridar dekh kar
ab rickshaw-ran bhi gate hain maKHdum ki ghazal
shayad asar hua hai ye bazar dekh kar
donon ka lal KHun bhi kya ho gaya safed
laDte hain log subha-o-zunnar dekh kar
koi fasad chori Dakaiti na hadisa
hairan hun main aaj ka aKHbar dekh kar
kis samt ja rahe hain bataun main shaiKH ji
andaza ho chuka hai ye raftar dekh kar
mulk-e-KHuda bhi tang hua pa-e-lang par
ahl-e-watan ko bar-sar-e-paikar dekh kar
ab ai 'rahim' aap bhi sannyas lijiye
rahraw chale hai rah ko hamwar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.