intisab
aaj ke naam
aur
aaj ke ġham ke naam
aaj kā ġham ki hai zindagī ke bhare gulsitāñ se ḳhafā
zard pattoñ kā ban
zard pattoñ kā ban jo mirā des hai
dard kī anjuman jo mirā des hai
clerkoñ kī afsurda jānoñ ke naam
kirm-ḳhurda diloñ aur zabānoñ ke naam
post-manoñ ke naam
tāñge vāloñ kā naam
rail-bānoñ ke naam
kār-ḳhānoñ ke bhūke jiyāloñ ke naam
bādshāh-e-jahāñ vālī-e-mā-sivā, nā.eb-ul-allāh fil-arz
dahqāñ ke naam
jis ke Dhoroñ ko zālim hañkā le ga.e
jis kī beTī ko Daaku uThā le ga.e
haath bhar khet se ek añgusht paTvār ne kaaT lī hai
dūsrī māliye ke bahāne se sarkār ne kaaT lī hai
jis kī pag zor vāloñ ke pāñv-tale
dhajjiyāñ ho ga.ī hai
un dukhī maaoñ ke naam
raat meñ jin ke bachche bilakte haiñ aur
niiñd kī maar khaa.e hue bāzuoñ meñ sambhalte nahīñ
dukh batāte nahīñ
minnatoñ zāriyoñ se bahalte nahīñ
un hasīnāoñ ke naam
jin kī āñkhoñ ke gul
chilmanoñ aur darīchoñ kī beloñ pe be-kār khil khil ke
murjhā ga.e haiñ
un biyāhtāoñ ke naam
jin ke badan
be mohabbat riyā-kār sejoñ pe saj saj ke uktā ga.e haiñ
bevāoñ ke naam
kaTḌiyoñ aur galiyoñ mohalloñ ke naam
jin kī nāpāk ḳhāshāk se chāñd rātoñ
ko aa aa ke kartā hai aksar vazū
jin ke sāyoñ meñ kartī hai āh-o-bukā
āñchaloñ kī hinā
chūḌiyoñ kī khanak
kākuloñ kī mahak
ārzū-mand sīnoñ kī apne pasīne meñ julne kī bū
paḌhne vāloñ ke naam
vo jo as.hāb-e-tabal-o-alam
ke daroñ par kitāb aur qalam
kā taqāzā liye haath phailā.e
vo ma.asūm jo bhole-pan meñ
vahāñ apne nanhe charāġhoñ meñ lau kī lagan
le ke pahuñche jahāñ
baT rahe the ghaTā-Top be-ant rātoñ ke saa.e
un asīroñ ke naam
jin ke sīnoñ meñ fardā ke shab-tāb gauhar
jel-ḳhānoñ kī shorīda rātoñ kī sarsar meñ
jal jal ke anjum-numā hoga.e haiñ
aane vaale dinoñ ke safīroñ ke naam
vo jo ḳhushbū-e-gul kī tarah
apne paiġhām par ḳhud fidā hoga.e haiñ
aaj ke nam
aur
aaj ke gham ke nam
aaj ka gham ki hai zindagi ke bhare gulsitan se KHafa
zard patton ka ban
zard patton ka ban jo mera des hai
dard ki anjuman jo mera des hai
clerkon ki afsurda jaanon ke nam
kirm-KHurda dilon aur zabanon ke nam
post-manon ke nam
tange walon ka nam
rail-banon ke nam
kar-KHanon ke bhuke jiyalon ke nam
baadshah-e-jahan wali-e-ma-siwa, naeb-ul-allah fil-arz
dahqan ke nam
jis ke Dhoron ko zalim hanka le gae
jis ki beTi ko Daku uTha le gae
hath bhar khet se ek angusht paTwar ne kaT li hai
dusri maliye ke bahane se sarkar ne kaT li hai
jis ki pag zor walon ke panw-tale
dhajjiyan ho gai hai
un dukhi maon ke nam
raat mein jin ke bachche bilakte hain aur
nind ki mar khae hue bazuon mein sambhalte nahin
dukh batate nahin
minnaton zariyon se bahalte nahin
un hasinaon ke nam
jin ki aankhon ke gul
chilmanon aur darichon ki belon pe be-kar khil khil ke
murjha gae hain
un biyahtaon ke nam
jin ke badan
be mohabbat riya-kar sejon pe saj saj ke ukta gae hain
bewaon ke nam
kaTDiyon aur galiyon mohallon ke nam
jin ki napak KHashak se chand raaton
ko aa aa ke karta hai aksar wazu
jin ke sayon mein karti hai aah-o-buka
aanchalon ki hina
chuDiyon ki khanak
kakulon ki mahak
aarzu-mand sinon ki apne pasine mein julne ki bu
paDhne walon ke nam
wo jo ashab-e-tabal-o-alam
ke daron par kitab aur qalam
ka taqaza liye hath phailae
wo masum jo bhole-pan mein
wahan apne nanhe charaghon mein lau ki lagan
le ke pahunche jahan
baT rahe the ghaTa-Top be-ant raaton ke sae
un asiron ke nam
jin ke sinon mein farda ke shab-tab gauhar
jel-KHanon ki shorida raaton ki sarsar mein
jal jal ke anjum-numa hogae hain
aane wale dinon ke safiron ke nam
wo jo KHushbu-e-gul ki tarah
apne paigham par KHud fida hogae hain
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 393)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.