aadmi aur jaanwar
shaam ko jab ghar meñ aa.e ham middle schōl se
ek sāhab milne aa.e shahr-e-asansol se
ham ne pūchhā naam to bole mohammad iftiḳhār
ḳhairiyat pūchhī to vo kahne lage be-iḳhtiyār
aap haiñ 'bāzaġh' bihārī shā.ir-e-tanz-o-mizāh
san aThattar meñ huā jin kā zarāfat se nikāh
mastī-e-tanz-o-zarāfat jab se hai sar par savār
shā.erī ke field meñ haiñ aap shutr-e-be-mahār
merī bātoñ kā na hargiz aap jo māneñ burā
aap ko 'bāzaġh' bihārī hai ye merā mashvara
aap ab sinf-e-zarāfat se ta'alluq toḌiye
aur shahnāz-e-ġhazal se apnā rishta joḌiye
baḌh nahīñ saktā zarāfat se vaqār-e-shā.erī
tanz se chaltā nahīñ hai kārobār-e-shā.erī
ab hazal-goī to ik bāzīcha-e-atfāl hai
bhairvīñ malhār Thumrī sheva-e-qavvāl hai
aap dekheñge ġhazal kī sinf apnāne ke ba.ad
rang laatī hai hinā patthar pe pis jaane ke baad
mas.ala ho sāmne to is kā hal bhī chāhiye
jab galā achchhā ho to achchhī ġhazal bhī chāhiye
dast-basta phir to ham ne arz kī ai mohtaram
qādir-e-mutlaq kā hai insān pe kitnā karam
aaj bhī nāzāñ hai jis par fitrat-e-parvardigār
munfarid hai aadmī allāh kā vo shāhkār
aadmī ko jis ne baḳhshī hai matā-e-shā.erī
hai tarannum bhī vadī.at ik usī allāh kī
sunñe vāloñ ko samā.at kā maza bhī chāhiye
jab ġhazal achchhī ho to achchhā galā bhī chāhiye
tā.irān-e-tīra-shab jab bolte haiñ taht meñ
phail jaatī hai nahūsat kohsār-o-dasht meñ
bhauñkte haiñ raat ko jab bhī sagān-e-kū-e-yār
phir nazar aatā nahīñ hai āshiqoñ ko sū-e-yār
mast ho kar jab gad.he karte haiñ Dheñchūñ raat ko
yaad aa jaatī hai naanī bhuut aur jinnāt ko
jānvar be-aql insāñ maḳhzan-e-aql-e-salīm
aadmī aur jānvar meñ hai ye tafrīq-e-azīm
jānvar hañstā nahīñ hai aur hañsā saktā nahīñ
ibn-e-ādam kī tarah vo gungunā saktā nahīñ
sham ko jab ghar mein aae hum middle school se
ek sahab milne aae shahr-e-asansol se
hum ne puchha nam to bole mohammad iftiKHar
KHairiyat puchhi to wo kahne lage be-iKHtiyar
aap hain 'bazagh' bihaari shair-e-tanz-o-mizah
san aThattar mein hua jin ka zarafat se nikah
masti-e-tanz-o-zarafat jab se hai sar par sawar
shaeri ke field mein hain aap shutr-e-be-mahaar
meri baaton ka na hargiz aap jo manen bura
aap ko 'bazagh' bihaari hai ye mera mashwara
aap ab sinf-e-zarafat se ta'alluq toDiye
aur shahnaz-e-ghazal se apna rishta joDiye
baDh nahin sakta zarafat se waqar-e-shaeri
tanz se chalta nahin hai karobar-e-shaeri
ab hazal-goi to ek bazicha-e-atfal hai
bhairwin malhaar Thumri shewa-e-qawwal hai
aap dekhenge ghazal ki sinf apnane ke baad
rang lati hai hina patthar pe pis jaane ke baad
masala ho samne to is ka hal bhi chahiye
jab gala achchha ho to achchhi ghazal bhi chahiye
dast-basta phir to hum ne arz ki ai mohtaram
qadir-e-mutlaq ka hai insan pe kitna karam
aaj bhi nazan hai jis par fitrat-e-parwardigar
munfarid hai aadmi allah ka wo shahkar
aadmi ko jis ne baKHshi hai mata-e-shaeri
hai tarannum bhi wadiat ek usi allah ki
sunne walon ko samaat ka maza bhi chahiye
jab ghazal achchhi ho to achchha gala bhi chahiye
tairan-e-tira-shab jab bolte hain taht mein
phail jati hai nahusat kohsar-o-dasht mein
bhaunkte hain raat ko jab bhi sagan-e-ku-e-yar
phir nazar aata nahin hai aashiqon ko su-e-yar
mast ho kar jab gadhe karte hain Dhenchun raat ko
yaad aa jati hai nani bhut aur jinnat ko
jaanwar be-aql insan maKHzan-e-aql-e-salim
aadmi aur jaanwar mein hai ye tafriq-e-azim
jaanwar hansta nahin hai aur hansa sakta nahin
ibn-e-adam ki tarah wo gunguna sakta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.