biwi ki amman
tirī maañ agar na hotī to mujhe qarār hotā
na vo aatī mere ghar meñ na maiñ zer-e-bār hotā
zarā dekh us ke naḳhre nahīñ khātī daal roTī
maiñ khilātā us ko sadqa jo yahāñ mazār hotā
tū use khilā.e murġhī aur khilā.e roast machhlī
maiñ use zahr khilātā agar iḳhtiyār hotā
mire ghar meñ aa ke rahne kī sazā maiñ us ko detā
kabhī doctor na laatā jo use buḳhār hotā
tirī maañ ne mujh ko kosā tire baap ne bhī DāñTā
na maiñ tere ghar meñ aatā na zalīl-o-ḳhvār hotā
mujhe sirf daal de dī jo baghārī bhī nahīñ thī
maiñ to vo bhī khā hī letā jo vahāñ achār hotā
bane ham jo tere dūlhā paḌā jhoñknā ye chūlhā
na nikāh tujh se karte na ye hāl-e-zār hotā
teri man agar na hoti to mujhe qarar hota
na wo aati mere ghar mein na main zer-e-bar hota
zara dekh us ke naKHre nahin khati dal roTi
main khilata us ko sadqa jo yahan mazar hota
tu use khilae murghi aur khilae roast machhli
main use zahr khilata agar iKHtiyar hota
mere ghar mein aa ke rahne ki saza main us ko deta
kabhi doctor na lata jo use buKHar hota
teri man ne mujh ko kosa tere bap ne bhi DanTa
na main tere ghar mein aata na zalil-o-KHwar hota
mujhe sirf dal de di jo baghaari bhi nahin thi
main to wo bhi kha hi leta jo wahan achaar hota
bane hum jo tere dulha paDa jhonkna ye chulha
na nikah tujh se karte na ye haal-e-zar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.