biwi ki fariyaad
pahle kyā kam thī musībat mire ghar meñ ki ab
ho ga.e haiñ mire sartāj ġhazal-go shā.ir
hasb-e-dastūr paḌe rahte haiñ sochoñ meñ gum
na vo mere liye ghar meñ haiñ na ghar se bāhar
pahle bhī kaam na karte the vo ghar kā koī
ab to kuchh aur bhī sustī meñ hue haiñ māhir
zinda hotīñ mirī ammāñ to maiñ un se kahtī
is se to achchhā thā rakh letīñ vo koī naukar
aamad hotī hai to ye hukm diyā jaatā hai
koī kuchh bolā to ho jā.egā ghar se bāhar
ek aafat meñ mirī jaan phañsī hai yā-rab
bhej de mere liye ab to koī chārāgar
koī to ho jo kahe ai miyāñ 'hammād' 'hasan'
jaao biivī ko ghumā laao kabhī chiḌiyā-ghar
pahle kya kam thi musibat mere ghar mein ki ab
ho gae hain mere sartaj ghazal-go shair
hasb-e-dastur paDe rahte hain sochon mein gum
na wo mere liye ghar mein hain na ghar se bahar
pahle bhi kaam na karte the wo ghar ka koi
ab to kuchh aur bhi susti mein hue hain mahir
zinda hotin meri amman to main un se kahti
is se to achchha tha rakh letin wo koi naukar
aamad hoti hai to ye hukm diya jata hai
koi kuchh bola to ho jaega ghar se bahar
ek aafat mein meri jaan phansi hai ya-rab
bhej de mere liye ab to koi chaaragar
koi to ho jo kahe ai miyan 'hammad' 'hasan'
jao biwi ko ghuma lao kabhi chiDiya-ghar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.