dil retire ho gaya
umr kā fifTy year jo expire ho gayā
husn kī mahfil se merā dil retire ho gayā
kal kī duniyā meñ sharāfat ek tāqat thī magar
ab sharīf insāñ taraqqī kar ke kāyer ho gayā
tiin beTe the ḳhudā ke fazl se mere magar
innā lillāh āḳhirī beTā bhī shā.ir ho gayā
kizb-o-ġhībat aur ġhaban meñ zindagī to kī basar
ab za.īfī meñ madīne kā vo zaa.er ho gayā
ḳhabt meñ fikr-e-suḳhan ke jāgtā hai rāt-bhar
ab to 'bāzaġh' bhī shab-e-tīra kā taa.ir ho gayā
umr ka fifTy year jo expire ho gaya
husn ki mahfil se mera dil retire ho gaya
kal ki duniya mein sharafat ek taqat thi magar
ab sharif insan taraqqi kar ke kayer ho gaya
tin beTe the KHuda ke fazl se mere magar
inna lillah aaKHiri beTa bhi shair ho gaya
kizb-o-ghibat aur ghaban mein zindagi to ki basar
ab zaifi mein madine ka wo zaer ho gaya
KHabt mein fikr-e-suKHan ke jagta hai raat-bhar
ab to 'bazagh' bhi shab-e-tira ka tair ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.