ek pakistani ki dua
lab pe aatī hai duā ban ke tamanna merī
ab to newyork meñ ho sub.h ḳhudāyā merī
terī rahmat se agar merā bhī visa lag jaa.e
merī izzat mirī shohrat meñ izāfa ho jaa.e
ho mirā kaam har ik desī ke hatthe chaḌhnā
aadhī tanḳhvāh par hañs hañs ke guzārā karnā
zindagī ho mirī ik bail kī sūrat yā-rab
sola ghanTe maiñ karūñ roz mashaqqat yā-rab
mere allāh immigration se bachānā mujh ko
jo ho mahfūz usī raste pe chalānā mujh ko
miyāñ 'hammād' bhī us mulk meñ rahte haiñ kahīñ
ho sake to kabhī un se bhī milānā mujh ko
lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri
ab to newyork mein ho subh KHudaya meri
teri rahmat se agar mera bhi wisa lag jae
meri izzat meri shohrat mein izafa ho jae
ho mera kaam har ek desi ke hatthe chaDhna
aadhi tanKHwah par hans hans ke guzara karna
zindagi ho meri ek bail ki surat ya-rab
sola ghanTe main karun roz mashaqqat ya-rab
mere allah immigration se bachana mujh ko
jo ho mahfuz usi raste pe chalana mujh ko
miyan 'hammad' bhi us mulk mein rahte hain kahin
ho sake to kabhi un se bhi milana mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.