filmi ishq
mohabbat jis ko kahte haiñ baḌī mushkil se hotī hai
faqat ik baar hotī hai ḳhulūs-e-dil se hotī hai
jahān-e-film meñ, ulfat kā har naḳhrā nirālā hai
ye aisī daal hai jis daal meñ kaalā hī kaalā hai
agar bāzār meñ laḌkī phisal jaa.e mohabbat hai
sahārā pā ke laḌke kā sambhal jaa.e mohabbat hai
kisī laḌkī ko Daaku se chhuḌā kar laao ulfat ho
kisī kī cycle se cycle Takrāv ulfat ho
ye filmī ishq ne kaisā nayā pahlū nikālā hai
police-kaptān kī laḌkī kā āshiq rikshe vaalā hai
muqaddar ko kahīñ se sāz-gārī hī nahīñ miltī
vahī miltī hai aur koī savārī hī nahīñ miltī
amīrī par ġharībī kā vo yuuñ sikka jamātā hai
kirāya tak nahīñ letā magar chaDDī khulātā hai
sar-e-bāzār hero se jo accident ho jaa.e
to us kā ishq accident se disent ho jaa.e
ba-zāhir dekhne meñ sirf ik motor kī Takkar hai
kisī dil-pheñk se lekin kisī dilbar kī Takkar hai
vo heroine ko motor meñ shifā-ḳhāne bhī lā.egā
aur us ke dil ko bahlāne ko gaanā bhī sunā.egā
vo gaanā jis meñ hāl-e-dil kī puurī tarjumānī ho
magar ye shart hai bharpūr donoñ kī javānī ho
vo phir motor se Takkar kī shikāyat bhuul jā.egī
vo zaḳhm-e-dil ke aage har jarāhat bhuul jā.egī
janāb-e-seTh-sāhab kī jo ik be-māñ kī bachchī hai
nihāyat lāDlī hai umr puḳhta aql kachchī hai
aur us ko seTh ke daftar ke ik baabū se ulfat hai
manager aur baabū ke liye vaj.h-e-raqābat hai
natīje meñ vilen nāshād hero shaad hotā hai
taraqqī pā ke baabū seTh kā dāmād hotā hai
kabhī laḌkī pe jo tanhā safar kā sāneha guzre
to chaltī rail meñ bhī ishq kā ye hādsa guzre
ki hero rail ke sanDās se Dabbe meñ aa.egā
aur is ke baad heroine ko bas behosh pā.egā
vo us ke sar ko phir zaanū pe rakh kar gaal thapkegā
aur us kī aañkh se ik ishq kā aañsū bhī Tapkegā
to heroine bhī bas ghabrā ke āñkheñ khol Dālegī
ye us kā dil sambhālegā vo is kā dil sambhālegī
hoñ do bahneñ baḌī kā un meñ iklautā mangetar ho
mohabbat se bapā donoñ ke dil meñ ek mahshar ho
ki chhoTī ko bhī ulfat us se hogī barmalā hogī
vo apne hone vaale dūlhā-bhā.ī pe fidā hogī
firāq-e-yār meñ gaane kā ye andāz hotā hai
vo jangal ho ki bastī ho yaqīnan saaz hotā hai
ġhazal aadhī jo hero ne kisī jangal meñ gaa.ī hai
usī kī aadhī heroine ne bastī meñ sunā.ī hai
jo sāzinde, pyāno, vailen tabla bajāte haiñ
kabhī jangal meñ jaate haiñ kabhī bastī meñ aate haiñ
ye filmī ishq hai, le de ke bas is kā ye hāsil hai
hamārī qaum ke bachchoñ ke haq meñ zahr-e-qātil hai
'zarīf' anjām kyā hogā jo merā dil bhī kho jaa.e
kahīñ aisā na ho, mujh ko bhī filmī ishq ho jaa.e
mohabbat jis ko kahte hain baDi mushkil se hoti hai
faqat ek bar hoti hai KHulus-e-dil se hoti hai
jahan-e-film mein, ulfat ka har naKHra nirala hai
ye aisi dal hai jis dal mein kala hi kala hai
agar bazar mein laDki phisal jae mohabbat hai
sahaara pa ke laDke ka sambhal jae mohabbat hai
kisi laDki ko Daku se chhuDa kar lao ulfat ho
kisi ki cycle se cycle Takraw ulfat ho
ye filmi ishq ne kaisa naya pahlu nikala hai
police-kaptan ki laDki ka aashiq rikshe wala hai
muqaddar ko kahin se saz-gari hi nahin milti
wahi milti hai aur koi sawari hi nahin milti
amiri par gharibi ka wo yun sikka jamata hai
kiraya tak nahin leta magar chaDDi khulata hai
sar-e-bazar hero se jo accident ho jae
to us ka ishq accident se disent ho jae
ba-zahir dekhne mein sirf ek motor ki Takkar hai
kisi dil-phenk se lekin kisi dilbar ki Takkar hai
wo heroine ko motor mein shifa-KHane bhi laega
aur us ke dil ko bahlane ko gana bhi sunaega
wo gana jis mein haal-e-dil ki puri tarjumani ho
magar ye shart hai bharpur donon ki jawani ho
wo phir motor se Takkar ki shikayat bhul jaegi
wo zaKHm-e-dil ke aage har jarahat bhul jaegi
janab-e-seTh-sahab ki jo ek be-man ki bachchi hai
nihayat laDli hai umr puKHta aql kachchi hai
aur us ko seTh ke daftar ke ek babu se ulfat hai
manager aur babu ke liye wajh-e-raqabat hai
natije mein wilen nashad hero shad hota hai
taraqqi pa ke babu seTh ka damad hota hai
kabhi laDki pe jo tanha safar ka saneha guzre
to chalti rail mein bhi ishq ka ye hadsa guzre
ki hero rail ke sanDas se Dabbe mein aaega
aur is ke baad heroine ko bas behosh paega
wo us ke sar ko phir zanu pe rakh kar gal thapkega
aur us ki aankh se ek ishq ka aansu bhi Tapkega
to heroine bhi bas ghabra ke aankhen khol Dalegi
ye us ka dil sambhaalega wo is ka dil sambhaalegi
hon do bahnen baDi ka un mein iklauta mangetar ho
mohabbat se bapa donon ke dil mein ek mahshar ho
ki chhoTi ko bhi ulfat us se hogi barmala hogi
wo apne hone wale dulha-bhai pe fida hogi
firaq-e-yar mein gane ka ye andaz hota hai
wo jangal ho ki basti ho yaqinan saz hota hai
ghazal aadhi jo hero ne kisi jangal mein gai hai
usi ki aadhi heroine ne basti mein sunai hai
jo sazinde, pyano, wailen tabla bajate hain
kabhi jangal mein jate hain kabhi basti mein aate hain
ye filmi ishq hai, le de ke bas is ka ye hasil hai
hamari qaum ke bachchon ke haq mein zahr-e-qatil hai
'zarif' anjam kya hoga jo mera dil bhi kho jae
kahin aisa na ho, mujh ko bhi filmi ishq ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.