ghar-damad ki mushkilen
jaanā thā sasurāl se mushkil rahne meñ rusvā.ī thī
ham ne tere jahāñ meñ maulā kaisī qismat paa.ī thī
saas susar kī ḳhidmat meñ hameñ saarā din lag jaatā thā
phir bhī ham ko biivī ne har baat pe DaañT pilā.ī thī
ham hī the taqdīr ke maare jo is ghar meñ biyāhe ga.e
varna bahut se dāmādoñ kī lottery bhī nikal aa.ī thī
ab rote haiñ us din ko jab haañ kah kar muskā.e the
kyā ma.alūm thā us muskān se ham ne ġhulāmī paa.ī thī
ban ga.e ghar-dāmād to phir bhalā kaun hameñ izzat detā
saas piTā.ī kar ke ga.ī to susar ne DaañT pilā.ī thī
izzat-e-nafs kā saudā kar ke ḳhuun ke ghūñT piye har dam
bhīgī billī ban kar ham ne apnī umr bitā.ī thī
jaana tha sasural se mushkil rahne mein ruswai thi
hum ne tere jahan mein maula kaisi qismat pai thi
sas susar ki KHidmat mein hamein sara din lag jata tha
phir bhi hum ko biwi ne har baat pe DanT pilai thi
hum hi the taqdir ke mare jo is ghar mein biyahe gae
warna bahut se damadon ki lottery bhi nikal aai thi
ab rote hain us din ko jab han kah kar muskae the
kya malum tha us muskan se hum ne ghulami pai thi
ban gae ghar-damad to phir bhala kaun hamein izzat deta
sas piTai kar ke gai to susar ne DanT pilai thi
izzat-e-nafs ka sauda kar ke KHun ke ghunT piye har dam
bhigi billi ban kar hum ne apni umr bitai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.