maine ye kaha kab ki manane ke liye aa
maiñ ne ye kahā kab ki manāne ke liye aa
mujh kaaTh ke ullū ko phañsāne ke liye aa
mere liye aa aur na zamāne ke liye aa
bachche ko faqat duudh pilāne ke liye aa
har roz vahī gosht vahī gosht vahī gosht
ik din to kabhī daal pakāne ke liye aa
jo husn javānoñ ke liye vaqf hai us ko
ik baar to būḌhoñ ko dikhāne ke liye aa
din meñ kabhī hāthoñ kī safā.ī se girah kaaT
shab meñ kabhī sāmān churāne ke liye aa
us huur ko dekhā to ye kahne lagā har shaḳhs
aa aa mujhe lañgūr banāne ke liye aa
vo shaiḳh ki jis kī koī line hī nahīñ hai
us ko zarā line pe lagāne ke liye aa
farsūda tasavvur ke makoḌoñ ko masal de
ulfat ko udhar pheñk kamāne ke liye aa
main ne ye kaha kab ki manane ke liye aa
mujh kaTh ke ullu ko phansane ke liye aa
mere liye aa aur na zamane ke liye aa
bachche ko faqat dudh pilane ke liye aa
har roz wahi gosht wahi gosht wahi gosht
ek din to kabhi dal pakane ke liye aa
jo husn jawanon ke liye waqf hai us ko
ek bar to buDhon ko dikhane ke liye aa
din mein kabhi hathon ki safai se girah kaT
shab mein kabhi saman churane ke liye aa
us hur ko dekha to ye kahne laga har shaKHs
aa aa mujhe langur banane ke liye aa
wo shaiKH ki jis ki koi line hi nahin hai
us ko zara line pe lagane ke liye aa
farsuda tasawwur ke makoDon ko masal de
ulfat ko udhar phenk kamane ke liye aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.