nanhe paTelu ki shaiKHiyan
sunātā huuñ tumheñ ai bhā.iyo maiñ
ki andar mere kyā jauhar chhupe haiñ
bahādur huuñ maiñ duniyā meñ akelā
mirā madd-e-muqābil kaun hogā
pahalvāñ mujh se har ik Dar gayā hai
mirī tāqat kā sikka chal rahā hai
agar rustam bhī merā naam sun le
to maare ḳhauf ke bāhar na nikle
agar maiñ jang ke maidāñ meñ jā.ūñ
to saarī makkhiyoñ ke sar uḌā.ūñ
agar aa.egī billī sāmne to
do-lattā maar ke chhoḌūñgā us ko
jo chiḌiyā haath aa jaa.e kahīñ se
to sar us kā judā kar duuñ chhurī se
zahe-qismat diyā murġhī ne anDā
to maiñ ne us ko toḌā le ke DañDā
agar machchhar ko mukkā ek mārūñ
to fauran ḳhaak meñ us ko milā duuñ
kaho to murġh kī gardan maroḌūñ
na hargiz vo kahegā kukḌūñ kukḌūñ
ġharaz mujh meñ hai tāqat itnī bhārī
samajh meñ jo na aa.egī tumhārī
sunata hun tumhein ai bhaiyo main
ki andar mere kya jauhar chhupe hain
bahadur hun main duniya mein akela
mera madd-e-muqabil kaun hoga
pahalwan mujh se har ek Dar gaya hai
meri taqat ka sikka chal raha hai
agar rustam bhi mera nam sun le
to mare KHauf ke bahar na nikle
agar main jang ke maidan mein jaun
to sari makkhiyon ke sar uDaun
agar aaegi billi samne to
do-latta mar ke chhoDunga us ko
jo chiDiya hath aa jae kahin se
to sar us ka juda kar dun chhuri se
zahe-qismat diya murghi ne anDa
to main ne us ko toDa le ke DanDa
agar machchhar ko mukka ek marun
to fauran KHak mein us ko mila dun
kaho to murgh ki gardan maroDun
na hargiz wo kahega kukDun kukDun
gharaz mujh mein hai taqat itni bhaari
samajh mein jo na aaegi tumhaari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.