naya hathi
shādiyāñ hotī thiiñ jab pahle kisī dehāt meñ
chand hāthī bhī mañgā.e jaate the bārāt meñ
taaki kuchh sārātiyoñ par ro.ab samdhī kā paḌe
aur us ke naam kā atrāf meñ jhanDā gaḌe
hāthiyoñ ko dekh kar atrāf meñ hotī thī dhuum
gher letā thā unheñ ahl-e-tamāshā kā hujūm
un kī ḳhūrish par magar hotī thī ḳharch itnī raqam
sāhab-ḳhāna bichāre kā nikal jaatā thā dam
gāḌiyoñ bargad ke patte ek man puḳhta anaaj
ek hāthī ko milā kartā thā rozāna ḳhirāj
jab adam-ābād kī jānib zamīñ-dārī ga.ī
rafta rafta hāthiyoñ kī garm-bāzārī ga.ī
aur ab un ke evaz har gaañv har dehāt meñ
nā-ḳhudāyān-e-siysāsat jaate haiñ bārāt meñ
āj-kal shobhā baḌhāne ke liye bārāt kī
har lagan meñ maañg hotī hai inhīñ hazrāt kī
un kī aamad se bhī mach jaatī hai chāroñ samt dhuum
gher letā hai unheñ bhī gaañv vāloñ kā hujūm
mezbāñ ke ghar kī raunaq shān-o-shaukat ro.ab-dāb
daf.atan baḌhte haiñ be-pāyāñ o be-hadd-o-hisāb
ek hāthī par jo pahle ḳharch hotī thī raqam
ek netā par vahī hotī hai sarf ab besh-o-kam
farq sirf ye hai ki vo khātā thā gallā ye pulāv
us kā hissa ek man thā in kā hissa tiin paav
us ke aage Tokrā thā in ke aage ḳhās-dān
vo chabā jaatā thā patte ye chabā jaate the paan
pāñch meñ miltā thā pahle ek man galle kā Dher
saiñkaḌoñ kī ab chapat hai murġh-o-māhī-o-baTer
māñgte haiñ da.avat-e-shādī meñ sab har baar murġh
ab hisāb is kā lagā lo ek netā chaar murġh
is tarāzū meñ barābar haiñ vo netā huuñ ki fiil
khāte haiñ jantā kā hissa bhī ye jantā ke vakīl
ḳhvāh netā ho ki hāthī naam bārātī kā hai
al-ġharaz dīvāliya har hālat meñ sārātī kā hai
shadiyan hoti thin jab pahle kisi dehat mein
chand hathi bhi mangae jate the baraat mein
taki kuchh saraatiyon par roab samdhi ka paDe
aur us ke nam ka atraf mein jhanDa gaDe
hathiyon ko dekh kar atraf mein hoti thi dhum
gher leta tha unhen ahl-e-tamasha ka hujum
un ki KHurish par magar hoti thi KHarch itni raqam
sahab-KHana bichaare ka nikal jata tha dam
gaDiyon bargad ke patte ek man puKHta anaj
ek hathi ko mila karta tha rozana KHiraj
jab adam-abaad ki jaanib zamin-dari gai
rafta rafta hathiyon ki garm-bazari gai
aur ab un ke ewaz har ganw har dehat mein
na-KHudayan-e-siysasat jate hain baraat mein
aaj-kal shobha baDhane ke liye baraat ki
har lagan mein mang hoti hai inhin hazraat ki
un ki aamad se bhi mach jati hai chaaron samt dhum
gher leta hai unhen bhi ganw walon ka hujum
mezban ke ghar ki raunaq shan-o-shaukat roab-dab
dafatan baDhte hain be-payan o be-hadd-o-hisab
ek hathi par jo pahle KHarch hoti thi raqam
ek neta par wahi hoti hai sarf ab besh-o-kam
farq sirf ye hai ki wo khata tha galla ye pulaw
us ka hissa ek man tha in ka hissa tin paw
us ke aage Tokra tha in ke aage KHas-dan
wo chaba jata tha patte ye chaba jate the pan
panch mein milta tha pahle ek man galle ka Dher
sainkaDon ki ab chapat hai murgh-o-mahi-o-baTer
mangte hain dawat-e-shadi mein sab har bar murgh
ab hisab is ka laga lo ek neta chaar murgh
is taraazu mein barabar hain wo neta hun ki fil
khate hain janta ka hissa bhi ye janta ke wakil
KHwah neta ho ki hathi nam baraati ka hai
al-gharaz diwaliya har haalat mein saraati ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.