sultan aKHtar paTna ke nam (jadid amali tanqid)
sultān aḳhtar aap jo ġhā.eb haiñ āj-kal
rahmāniya nashīnoñ kī shām-o-sahar hai Dal
jab se qalam ko taj ke sambhālī hai rifle
ālām-e-bevgī meñ paḌī hai na.ī ġhazal
yaksar udaas rahte haiñ kul intellectual
nazr-e-shikār ho ga.ī un kī chahal-pahal
albatta ik zarā sī huī thī uthal-puthal
muddat ke baa'd TuuTā thā nā kā jumūd kal
do naujavān sahn meñ is chā.e-gāh ke
bāham digar the bahs meñ masrūf be-ḳhalal
thā un meñ ek chūza qad-o-munhanī badan
qāmat meñ dūsrā thā shuturmurġh se double
ye bahs thī ki kaun hai in meñ jadīd-tar
donoñ meñ kis kī hotī hai tahrīr mubtazal
donoñ meñ kaun kis se ziyāda hai be-tukā
kahtā hai kaun kis se zaTal khurdurī ġhazal
in meñ jo manhanī thā vo bolā ba-sad ġhurūr
sun lo ki maiñ huuñ tum se baḌā intellectual
merī kahāniyoñ meñ ma.aqūl kā rang hai
maflūj jin ke sāmne hai fahm kā amal
tarsīl-e-nā-rasā kī sanad mere paas hai
mujh ko sarāhtā hai mujāhid miyāñ kā dil
ye lan-tarāniyāñ na huiiñ dūsre se hazm
hoñT is ke kāñpne lage aayā jabīñ pe bal
chīḳhā vo aa ke taish maiñ terī bisāt kyā
to aur jadīdiyat meñ bane merā rival
likhtā huuñ aise aise makātīb be-tuke
kolhū kā bail bhī mirā chelā hai āj-kal
islāh dī kalām pe ḳhud tere bārhā
ma.anī se lafz lafz se ma.anī diye badal
in sab ke bāvajūd akaḌtā hai mujh se tū
kyā daf.atan dimāġh meñ aayā tire ḳhalal
ab manhanī adiib ko bhī aa gayā jalāl
kahne lagā ki zarf se apne na yuuñ ubal
imlā durust hai na talaffuz tirā durust
tahrīr ho kalām ho har chiiz hai zaTal
islāh degā ḳhaak vo mere kalām par
jo naql ko naqal kahe aur asl ko asal
ye baat dūsre ko lagī saḳht nāgavār
aur vo chalā ke haath ye bolā ki le sambhal
phir to evaz zabān ke hāthoñ ke bol se
us ne shurūa kar diyā tanqīd kā amal
ba.ad us ke donoñ guth ga.e ek dūsre ke saath
rahmāniya ke sahn meñ hone lagā Dual
kamzor dekhne hī meñ thā manhanī javān
jhapTā darāz-qad pe jo pahlū badal badal
yaarā mudāfa.at kā na baaqī rahā use
do Thokaroñ meñ gir paḌā be-chāra muñh ke bal
chīte kī tarah jast lagā kar harīf par
zaa.e.a kiye baġhair koī lamha koī pal
pusht-e-darāz-qad pe vo jhaT ho gayā savār
aur us ke saare jism ko karne lagā kharal
ik bhiiḌ jam.a ho ga.ī donoñ ke ird-gard
paidā huā na un ke amal meñ magar ḳhalal
dekhā tamām logoñ ne ik lutf-e-ḳhās se
iz.hār-e-zāt kā vo tamāshā-e-be-badal
jab donoñ thak ke chuur hue ḳhud hī haT ga.e
chehra kisī kā surḳh thā baazū kisī kā shal
is vāqiye ko sun ke kareñ aap faisla
un meñ thā kaun kis se baḌā intellectual
sultan aKHtar aap jo ghaeb hain aaj-kal
rahmaniya nashinon ki sham-o-sahar hai Dal
jab se qalam ko taj ke sambhaali hai rifle
aalam-e-bewgi mein paDi hai nai ghazal
yaksar udas rahte hain kul intellectual
nazr-e-shikar ho gai un ki chahal-pahal
albatta ek zara si hui thi uthal-puthal
muddat ke ba'd TuTa tha na ka jumud kal
do naujawan sahn mein is chae-gah ke
baham digar the bahs mein masruf be-KHalal
tha un mein ek chuza qad-o-munhani badan
qamat mein dusra tha shuturmurgh se double
ye bahs thi ki kaun hai in mein jadid-tar
donon mein kis ki hoti hai tahrir mubtazal
donon mein kaun kis se ziyaada hai be-tuka
kahta hai kaun kis se zaTal khurduri ghazal
in mein jo manhani tha wo bola ba-sad ghurur
sun lo ki main hun tum se baDa intellectual
meri kahaniyon mein maqul ka rang hai
mafluj jin ke samne hai fahm ka amal
tarsil-e-na-rasa ki sanad mere pas hai
mujh ko sarahta hai mujahid miyan ka dil
ye lan-taraniyan na huin dusre se hazm
honT is ke kanpne lage aaya jabin pe bal
chiKHa wo aa ke taish main teri bisat kya
to aur jadidiyat mein bane mera riwal
likhta hun aise aise makatib be-tuke
kolhu ka bail bhi mera chela hai aaj-kal
islah di kalam pe KHud tere barha
mani se lafz lafz se mani diye badal
in sab ke bawajud akaDta hai mujh se tu
kya dafatan dimagh mein aaya tere KHalal
ab manhani adib ko bhi aa gaya jalal
kahne laga ki zarf se apne na yun ubal
imla durust hai na talaffuz tera durust
tahrir ho kalam ho har chiz hai zaTal
islah dega KHak wo mere kalam par
jo naql ko naqal kahe aur asl ko asal
ye baat dusre ko lagi saKHt nagawar
aur wo chala ke hath ye bola ki le sambhal
phir to ewaz zaban ke hathon ke bol se
us ne shurua kar diya tanqid ka amal
baad us ke donon guth gae ek dusre ke sath
rahmaniya ke sahn mein hone laga Dual
kamzor dekhne hi mein tha manhani jawan
jhapTa daraaz-qad pe jo pahlu badal badal
yara mudafat ka na baqi raha use
do Thokaron mein gir paDa be-chaara munh ke bal
chite ki tarah jast laga kar harif par
zaea kiye baghair koi lamha koi pal
pusht-e-daraaz-qad pe wo jhaT ho gaya sawar
aur us ke sare jism ko karne laga kharal
ek bhiD jama ho gai donon ke ird-gard
paida hua na un ke amal mein magar KHalal
dekha tamam logon ne ek lutf-e-KHas se
izhaar-e-zat ka wo tamasha-e-be-badal
jab donon thak ke chur hue KHud hi haT gae
chehra kisi ka surKH tha bazu kisi ka shal
is waqiye ko sun ke karen aap faisla
un mein tha kaun kis se baDa intellectual
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.