payam aae hain us yar-e-bewafa ke mujhe
payām aa.e haiñ us yār-e-bevafā ke mujhe
jise qarār na aayā kahīñ bhulā ke mujhe
judā.iyāñ hoñ to aisī ki umr bhar na mileñ
fareb do to zarā silsile baḌhā ke mujhe
nashe se kam to nahīñ yād-e-yār kā aalam
ki le uḌā hai koī dosh par havā ke mujhe
maiñ ḳhud ko bhuul chukā thā magar jahāñ vaale
udaas chhoḌ ga.e ā.īna dikhā ke mujhe
tumhāre baam se ab kam nahīñ hai rif.at-e-dār
jo dekhnā ho to dekho nazar uThā ke mujhe
khiñchī huī hai mire āñsuoñ meñ ik tasvīr
'farāz' dekh rahā hai vo muskurā ke mujhe
payam aae hain us yar-e-bewafa ke mujhe
jise qarar na aaya kahin bhula ke mujhe
judaiyan hon to aisi ki umr bhar na milen
fareb do to zara silsile baDha ke mujhe
nashe se kam to nahin yaad-e-yar ka aalam
ki le uDa hai koi dosh par hawa ke mujhe
main KHud ko bhul chuka tha magar jahan wale
udas chhoD gae aaina dikha ke mujhe
tumhaare baam se ab kam nahin hai rifat-e-dar
jo dekhna ho to dekho nazar uTha ke mujhe
khinchi hui hai mere aansuon mein ek taswir
'faraaz' dekh raha hai wo muskura ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.