aansu tumhaari aankh mein aae to uTh gae
aañsū tumhārī aañkh meñ aa.e to uTh ga.e
ham jab karam kī taab na laa.e to uTh ga.e
baiThe the aa ke paas ki apnoñ meñ thā shumār
dekhā ki ham hī nikle parā.e to uTh ga.e
ham harf-e-zer-e-lab the hameñ kaun roktā
lafzoñ ke tum ne jaal bichhā.e to uTh ga.e
baiThe chhupā chhupā ke jo dāman meñ āftāb
ham ne bhī kuchh charāġh jalā.e to uTh ga.e
kyā thā hamāre paas ba-juz ik sukūt-e-ġham
charke bahut jo tum ne lagā.e to uTh ga.e
aansu tumhaari aankh mein aae to uTh gae
hum jab karam ki tab na lae to uTh gae
baiThe the aa ke pas ki apnon mein tha shumar
dekha ki hum hi nikle parae to uTh gae
hum harf-e-zer-e-lab the hamein kaun rokta
lafzon ke tum ne jal bichhae to uTh gae
baiThe chhupa chhupa ke jo daman mein aaftab
hum ne bhi kuchh charagh jalae to uTh gae
kya tha hamare pas ba-juz ek sukut-e-gham
charke bahut jo tum ne lagae to uTh gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.