ahl-e-jahan ke milne se hum ehtiraaz kar
ahl-e-jahāñ ke milne se ham ehtirāz kar
baiThe haiñ gosha-gīr ho is dil se saaz kar
sūrat usī kī hai mutajallī har ek meñ
dekhe jo koī chashm-e-haqīqat ko baaz kar
sajda jise kareñ haiñ vo har-sū hai jalva-gar
jīdhar tirā mizāj ho ūdhar namāz kar
go āsmān par bhī uḌā tū to kyā huā
maiñ kaun huuñ kahāñ huuñ ye bhī imtiyāz kar
kal ek pal bhī tū na thamā us ke rū-ba-rū
ai ashk kyā milā tujhe ifshā-e-rāz kar
'joshish' ho jab talak ki haqīqat se tujh ko raah
tab tak barā.e-shuġhl tū sair-e-majāz kar
ahl-e-jahan ke milne se hum ehtiraaz kar
baiThe hain gosha-gir ho is dil se saz kar
surat usi ki hai mutajalli har ek mein
dekhe jo koi chashm-e-haqiqat ko baz kar
sajda jise karen hain wo har-su hai jalwa-gar
jidhar tera mizaj ho udhar namaz kar
go aasman par bhi uDa tu to kya hua
main kaun hun kahan hun ye bhi imtiyaz kar
kal ek pal bhi tu na thama us ke ru-ba-ru
ai ashk kya mila tujhe ifsha-e-raaz kar
'joshish' ho jab talak ki haqiqat se tujh ko rah
tab tak barae-shughl tu sair-e-majaz kar
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.