aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-zom-e-aql ye kaisa gunah maine kiya

Irfan Sattar

ba-zom-e-aql ye kaisa gunah maine kiya

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    ba-zom-e-aql ye kaisā gunāh maiñ ne kiyā

    ik ā.īnā thā usī ko siyāh maiñ ne kiyā

    ye shahr-e-kam-nazarāñ ye dayār-e-be-hunarāñ

    kise ye apne hunar gavāh maiñ ne kiyā

    harīm-e-dil ko jalāne lagā thā ek ḳhayāl

    so gul use bhī ba-yak sard aah maiñ ne kiyā

    vahī yaqīn rahā hai javāz-e-ham-safarī

    jo gaah us ne kiyā aur gaah maiñ ne kiyā

    bas ek dil to hai vāqif-e-rumūz-e-hayāt

    so shahr-e-jāñ use sarbarāh maiñ ne kiyā

    har ek ranj usī baab meñ kiyā hai raqam

    zarā ġham thā jise be-panāh maiñ ne kiyā

    ye rāh-e-ishq bahut sahl ho ga.ī jab se

    hisār-e-zāt ko paivand-e-rāh maiñ ne kiyā

    ye umr hai basar kuchh ajab tavāzun se

    tirā huā na ḳhud se nibāh maiñ ne kiyā

    ḳhirad ne dil se kahā junūñ-sifat sahī

    na pūchh us ki jis ko tabāh maiñ ne kiyā

    ba-zom-e-aql ye kaisa gunah main ne kiya

    ek aaina tha usi ko siyah main ne kiya

    ye shahr-e-kam-nazaran ye dayar-e-be-hunaran

    kise ye apne hunar ka gawah main ne kiya

    harim-e-dil ko jalane laga tha ek KHayal

    so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiya

    wahi yaqin raha hai jawaz-e-ham-safari

    jo gah us ne kiya aur gah main ne kiya

    bas ek dil hi to hai waqif-e-rumuz-e-hayat

    so shahr-e-jaan ka use sarbarah main ne kiya

    har ek ranj usi bab mein kiya hai raqam

    zara sa gham tha jise be-panah main ne kiya

    ye rah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se

    hisar-e-zat ko paiwand-e-rah main ne kiya

    ye umr ki hai basar kuchh ajab tawazun se

    tera hua na hi KHud se nibah main ne kiya

    KHirad ne dil se kaha tu junun-sifat hi sahi

    na puchh us ki ki jis ko tabah main ne kiya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ba-zom-e-aql ye kaisa gunah maine kiya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now