baat bigḌī huī banī sī rahī
jaañ nahīñ niklī jāñkanī sī rahī
baat khiñchtī chalī ga.ī dil se
umr bhar phir tanā tanī sī rahī
husn-e-shab sub.h-dam Dhalā lekin
peshtar us ke chāñdnī sī rahī
bahs ham ko na thī manāzir se
yuuñ thā bīnā.ī se Thanī sī rahī
us kā radd-e-amal thā ḳhanjar sā
ishq kahne ko thā anī sī rahī
samt duniyā ke ham ga.e hī nahīñ
us ilāqe se dushmanī sī rahī
kar ke ik qāfila ġhubār ġhubār
raah kuchh der an-manī sī rahī
baat bigDi hui bani si rahi
jaan nahin nikli jaankani si rahi
baat khinchti chali gai dil se
umr bhar phir tana tani si rahi
husn-e-shab subh-dam Dhala lekin
peshtar us ke chandni si rahi
bahs hum ko na thi manazir se
yun tha binai se Thani si rahi
us ka radd-e-amal tha KHanjar sa
ishq kahne ko tha ani si rahi
samt duniya ke hum gae hi nahin
us ilaqe se dushmani si rahi
kar ke ek qafila ghubar ghubar
rah kuchh der an-mani si rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.