Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai

Aale Ahmad Suroor

dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai

Aale Ahmad Suroor

MORE BYAale Ahmad Suroor

    dāstān-e-shauq kitnī baar dohrā.ī ga.ī

    sunñe vāloñ meñ tavajjoh kamī paa.ī ga.ī

    fikr hai sahmī huī jazba hai murjhāyā huā

    mauj shorish ga.ī dariyā gahrā.ī ga.ī

    husn bhī hai maslahat-bīñ ishq bhī duniyā-shanās

    aap shohrat ga.ī yāroñ rusvā.ī ga.ī

    ham to kahte the zamāna nahīñ jauhar-shanās

    ġhaur se dekhā to apne meñ kamī paa.ī ga.ī

    zaḳhm milte haiñ ilāj-e-zaḳhm-e-dil miltā nahīñ

    vaz-e-qātil rah ga.ī rasm-e-masīhā.ī ga.ī

    gard uḌaa.ī jo siyāsat ne vo āḳhir dhul ga.ī

    ahl-e-dil ḳhaak meñ bhī zindagī paa.ī ga.ī

    merī maddham lai jaadū ab bhī baaqī hai 'surūr'

    fasl ke naġhme ga.e mausam shahnā.ī ga.ī

    dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai

    sunne walon mein tawajjoh ki kami pai gai

    fikr hai sahmi hui jazba hai murjhaya hua

    mauj ki shorish gai dariya ki gahrai gai

    husn bhi hai maslahat-bin ishq bhi duniya-shanas

    aap ki shohrat gai yaron ki ruswai gai

    hum to kahte the zamana hi nahin jauhar-shanas

    ghaur se dekha to apne mein kami pai gai

    zaKHm milte hain ilaj-e-zaKHm-e-dil milta nahin

    waz-e-qatil rah gai rasm-e-masihai gai

    gard uDai jo siyasat ne wo aaKHir dhul gai

    ahl-e-dil ki KHak mein bhi zindagi pai gai

    meri maddham lai ka jadu ab bhi baqi hai 'surur'

    fasl ke naghme gae mausam ki shahnai gai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now