dhire dhire sham ka aankhon mein har manzar bujha
dhīre dhīre shaam kā āñkhoñ meñ har manzar bujhā
ik diyā raushan huā to ik diyā andar bujhā
vo to raushan qumqumoñ ke shahr meñ mahsūr thā
saḳht hairat hai ki aisā aadmī kyuuñ kar bujhā
is siyah-ḳhāne meñ tujh ko jāgnā hai raat bhar
in sitāroñ ko na be-maqsad hathelī par bujhā
zehn kī āvārgī ko bhī panāheñ chāhiye
yuuñ na sham.oñ ko kisī dahlīz par rakh kar bujhā
aur bhī ghar the havā kī zad pe bastī meñ 'shafaq'
mere hī ghar kā diyā tūfān meñ aksar bujhā
dhire dhire sham ka aankhon mein har manzar bujha
ek diya raushan hua to ek diya andar bujha
wo to raushan qumqumon ke shahr mein mahsur tha
saKHt hairat hai ki aisa aadmi kyun kar bujha
is siyah-KHane mein tujh ko jagna hai raat bhar
in sitaron ko na be-maqsad hatheli par bujha
zehn ki aawargi ko bhi panahen chahiye
yun na shamon ko kisi dahliz par rakh kar bujha
aur bhi ghar the hawa ki zad pe basti mein 'shafaq'
mere hi ghar ka diya tufan mein aksar bujha
- Book : Shahr Aainda (Pg. 26)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.