dil par kisi patthar ka nishan yun hi rahega
dil par kisī patthar kā nishāñ yuuñ hī rahegā
tā-umr ye shīshe kā makāñ yuuñ hī rahegā
ham Thahre raheñge kisī tābīr ko thāme
āñkhoñ meñ koī ḳhvāb ravāñ yuuñ hī rahegā
hai dhund meñ Duubā huā is shahr kā manzar
kyā jāniye kab tak ye samāñ yuuñ hī rahegā
kuchh der rahegī abhī bāzār kī raunaq
kuchh der ye hone kā gumāñ yuuñ hī rahegā
bujh jā.egā ik roz tirī yaad kā shola
lekin mire siine meñ dhuāñ yuuñ hī rahegā
lau de to rahā hai mire ḳhvāboñ ke ufuq par
lekin ye sitāra bhī kahāñ yuuñ hī rahegā
dil par kisi patthar ka nishan yun hi rahega
ta-umr ye shishe ka makan yun hi rahega
hum Thahre rahenge kisi tabir ko thame
aankhon mein koi KHwab rawan yun hi rahega
hai dhund mein Duba hua is shahr ka manzar
kya jaaniye kab tak ye saman yun hi rahega
kuchh der rahegi abhi bazar ki raunaq
kuchh der ye hone ka guman yun hi rahega
bujh jaega ek roz teri yaad ka shola
lekin mere sine mein dhuan yun hi rahega
lau de to raha hai mere KHwabon ke ufuq par
lekin ye sitara bhi kahan yun hi rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.