aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilasa de wagarna aankh ko girya pakaD lega

Mohsin Asrar

dilasa de wagarna aankh ko girya pakaD lega

Mohsin Asrar

MORE BYMohsin Asrar

    dilāsā de vagarna aañkh ko girya pakaḌ legā

    tire jaate phir mujh ko ġham-e-duniyā pakaḌ legā

    safar go vāpsī hai magar saath rah mere

    mujhe ye ḳhauf hai mujh ko mirā saaya pakaḌ legā

    apne dil dil meñ bas mujhe āvāz detā rah

    samā.at ko mirī varna ye sannāTā pakaḌ legā

    nikalnā ghar se bāhar bhī alāmat hai tasādum

    jise tanhā.ī chhoḌegī use ḳhatra pakaḌ legā

    mire kho.e hue lamhe kahīñ se DhūñD kar do

    magar hushiyār rahnā paañv ko rasta pakaḌ legā

    agar maiñ lauT jā.ūñ ishq se pahle ke aalam meñ

    to us ke qurb se guzrā huā lamha pakaḌ legā

    ḳhud bhī jāgtā rah aur mujh ko bhī jagātā rah

    nahīñ to zindagī ko dūsrā qissa pakaḌ legā

    dilasa de wagarna aankh ko girya pakaD lega

    tere jate hi phir mujh ko gham-e-duniya pakaD lega

    safar go wapsi ka hai magar tu sath rah mere

    mujhe ye KHauf hai mujh ko mera saya pakaD lega

    tu apne dil hi dil mein bas mujhe aawaz deta rah

    samaat ko meri warna ye sannaTa pakaD lega

    nikalna ghar se bahar bhi alamat hai tasadum ki

    jise tanhai chhoDegi use KHatra pakaD lega

    mere khoe hue lamhe kahin se DhunD kar la do

    magar hushiyar rahna panw ko rasta pakaD lega

    agar main lauT jaun ishq se pahle ke aalam mein

    to us ke qurb se guzra hua lamha pakaD lega

    tu KHud bhi jagta rah aur mujh ko bhi jagata rah

    nahin to zindagi ko dusra qissa pakaD lega

    Source:

    shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 123)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now