fitna-e-gardish-e-ayyam se ji Darta hai
fitna-e-gardish-e-ayyām se jī Dartā hai
sāya-e-zulf-e-siyah-e-fām se jī Dartā hai
din ke siine meñ dhaḌakte hue lamhoñ kī qasam
shab kī raftār-e-subuk-gām se jī Dartā hai
vahī tārīk darīche vahī be-nūr shafaq
partav-e-mehr-e-tahī-dām se jī Dartā hai
vahī be-vaj.h udāsī vahī be-nām ḳhalish
rasm-e-rāh-e-dil-e-nākām se jī Dartā hai
vahī sunsān fazā.eñ vahī vīrāñ sā nagar
aa ke baiTho to dar-o-bām se jī Dartā hai
fitna-e-gardish-e-ayyam se ji Darta hai
saya-e-zulf-e-siyah-e-fam se ji Darta hai
din ke sine mein dhaDakte hue lamhon ki qasam
shab ki raftar-e-subuk-gam se ji Darta hai
wahi tarik dariche wahi be-nur shafaq
partaw-e-mehr-e-tahi-dam se ji Darta hai
wahi be-wajh udasi wahi be-nam KHalish
rasm-e-rah-e-dil-e-nakaam se ji Darta hai
wahi sunsan fazaen wahi viran sa nagar
aa ke baiTho to dar-o-baam se ji Darta hai
- Book : Awaz Na Do (Pg. 12)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.