Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har roz naya hashr sar-e-rahguzar tha

Mohsin Zaidi

har roz naya hashr sar-e-rahguzar tha

Mohsin Zaidi

MORE BYMohsin Zaidi

    har roz nayā hashr sar-e-rāhguzar thā

    ab tak safar ek qayāmat safar thā

    andāza-e-hālāt thā pahle se mujh ko

    darpesh jo ab hai vo mire pesh-e-nazar thā

    sunte haiñ ki ābād yahāñ thā koī kumba

    āsār bhī kahte haiñ yahāñ par koī ghar thā

    tai ham ne kiyā saarā safar yak-o-tanhā

    juz gard-e-safar koī na hamrāh-e-safar thā

    sad haif ka.ī log ga.e jaañ se mire saath

    qātil ko to matlūb faqat merā sar thā

    merī tarah jaañ se guzar kar chale aate

    kuchh is se ziyāda to na raste meñ ḳhatar thā

    rahtā thā kabhī merī nigāhoñ meñ shab-o-roz

    ik vaqt thā jab vo mirā mahbūb-e-nazar thā

    kyā vo koī jhoñkā thā nasīm-e-saharī

    rahguzar-e-ḳhvāb pe ḳhushbū safar thā

    ham ke kahāñ bādiya-paimā hue 'mohsin'

    jis dasht meñ sabza na kahīñ koī shajar thā

    har roz naya hashr sar-e-rahguzar tha

    ab tak ka safar ek qayamat ka safar tha

    andaza-e-haalat tha pahle hi se mujh ko

    darpesh jo ab hai wo mere pesh-e-nazar tha

    sunte hain ki aabaad yahan tha koi kumba

    aasar bhi kahte hain yahan par koi ghar tha

    tai hum ne kiya sara safar yak-o-tanha

    juz gard-e-safar koi na hamrah-e-safar tha

    sad haif kai log gae jaan se mere sath

    qatil ko to matlub faqat mera hi sar tha

    meri hi tarah jaan se guzar kar chale aate

    kuchh is se ziyaada to na raste mein KHatar tha

    rahta tha kabhi meri nigahon mein shab-o-roz

    ek waqt tha jab wo mera mahbub-e-nazar tha

    kya wo koi jhonka tha nasim-e-sahari ka

    ya rahguzar-e-KHwab pe KHushbu ka safar tha

    hum ja ke kahan baadiya-paima hue 'mohsin'

    jis dasht mein sabza na kahin koi shajar tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    har roz naya hashr sar-e-rahguzar tha Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now