aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab koi sham-e-hasin nazr-e-KHarabaat hui

Makhmoor Saeedi

jab koi sham-e-hasin nazr-e-KHarabaat hui

Makhmoor Saeedi

MORE BYMakhmoor Saeedi

    jab koī shām-e-hasīñ nazr-e-ḳharābāt huī

    aksar aise meñ tire ġham se mulāqāt huī

    āp-apne ko na pahchān sake ham tā-der

    un se bichhḌe to ajab sūrat-e-hālāt huī

    husn se nibh na na sakī vaz-e-karam āḳhir tak

    avval avval to mohabbat mudārāt huī

    roz mai hai tumheñ yaad kiyā hai lekin

    aaj tum yaad na aa.e ye na.ī baat huī

    us ne āvāz meñ āvāz milā thī kabhī

    aaj tak ḳhatm na mausīqi-e-jazbāt huī

    dil pe ik ġham ghaTā chhā.ī huī thī kab se

    aaj un se jo mile TuuT ke barsāt huī

    kis parchhā.īñ paḌī kaun idhar se guzrā

    itnī rañgīñ jo guzargāh-e-ḳhayālāt huī

    un se ummīd-e-mulāqāt ke ba.ad ai 'maḳhmūr'

    muddatoñ tak na ḳhud apne se mulāqāt huī

    jab koi sham-e-hasin nazr-e-KHarabaat hui

    aksar aise mein tere gham se mulaqat hui

    aap-apne ko na pahchan sake hum ta-der

    un se bichhDe to ajab surat-e-haalat hui

    husn se nibh na na saki waz-e-karam aaKHir tak

    awwal awwal to mohabbat ki mudaraat hui

    roz mai pi hai tumhein yaad kiya hai lekin

    aaj tum yaad na aae ye nai baat hui

    us ne aawaz mein aawaz mila di thi kabhi

    aaj tak KHatm na mausiqi-e-jazbaat hui

    dil pe ek gham ki ghaTa chhai hui thi kab se

    aaj un se jo mile TuT ke barsat hui

    kis ki parchhain paDi kaun idhar se guzra

    itni rangin jo guzargah-e-KHayalat hui

    un se ummid-e-mulaqat ke baad ai 'maKHmur'

    muddaton tak na KHud apne se mulaqat hui

    Source:

    Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 197)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now