aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kai zamanon ke dariya-e-nil chhoD gaya

Musavvir Sabzwari

kai zamanon ke dariya-e-nil chhoD gaya

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    ka.ī zamānoñ ke dariyā-e-nīl chhoḌ gayā

    vo vaqt thā jo mujhe lākhoñ miil chhoḌ gayā

    na bhīge hoñT bhī kam-zarf dasht o dariyā ke

    mirā husain lahū sabīl chhoḌ gayā

    sab ek se the tulū-o-ġhurūb-e-jāñ us ke

    judā.ī meñ bhī vo naqsh-e-jamīl chhoḌ gayā

    the us ke saath zavāl-e-safar ke sab manzar

    vo dukhte dil ke bahut sañg-e-mīl chhoḌ gayā

    maiñ murda pāniyoñ meñ chāñd ravāñ dekhūñ

    vo varse meñ mujhe ḳhvāhish jhiil chhoḌ gayā

    maiñ zinda sach thā samundar guuñj sūrat

    gavāhī le nahīñ paayā dalīl chhoḌ gayā

    kai zamanon ke dariya-e-nil chhoD gaya

    wo waqt tha jo mujhe lakhon mil chhoD gaya

    na bhige honT bhi kam-zarf dasht o dariya ke

    mera husain lahu ki sabil chhoD gaya

    sab ek se the tulu-o-ghurub-e-jaan us ke

    judai mein bhi wo naqsh-e-jamil chhoD gaya

    the us ke sath zawal-e-safar ke sab manzar

    wo dukhte dil ke bahut sang-e-mil chhoD gaya

    main murda paniyon mein chand sa rawan dekhun

    wo warse mein mujhe KHwahish ki jhil chhoD gaya

    main zinda sach tha samundar ki gunj ki surat

    gawahi le nahin paya dalil chhoD gaya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kai zamanon ke dariya-e-nil chhoD gaya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now