aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal-e-yar ka jalwa yahan bhi tha wahan bhi tha

Aazim Kohli

KHayal-e-yar ka jalwa yahan bhi tha wahan bhi tha

Aazim Kohli

MORE BYAazim Kohli

    ḳhayāl-e-yār jalva yahāñ bhī thā vahāñ bhī thā

    zamīñ par paañv the mere nazar meñ āsmāñ bhī thā

    diye raushan the har jānib añdherā thā magar dil meñ

    bahut tanhā thā maiñ lekin sharīk-e-kārvāñ bhī thā

    chune tinke bahut maiñ ne banāyā āshiyāñ apnā

    azal se ik musāfir huuñ mujhe is gumāñ bhī thā

    udhar jaanā bhī thā lāzim idhar majbūr thī sohnī

    ghaḌā kachchā thā hāthoñ meñ udhar dariyā javāñ bhī thā

    sabhī shāmil the yaaro yuuñ to gulshan tabāhī meñ

    ab itnā saaf kyā kahiye ki un meñ bāġhbāñ bhī thā

    mire har zaḳhm par ik dāstāñ thī us ke zulmoñ

    mire ḳhūñ-bār dil par us ke hāthoñ nishāñ bhī thā

    mukartā thā vo apne tiir se to ik taraf 'āzim'

    udhar thāme hue ik haath meñ zālim kamāñ bhī thā

    KHayal-e-yar ka jalwa yahan bhi tha wahan bhi tha

    zamin par panw the mere nazar mein aasman bhi tha

    diye raushan the har jaanib andhera tha magar dil mein

    bahut tanha tha main lekin sharik-e-karwan bhi tha

    chune tinke bahut main ne banaya aashiyan apna

    azal se ek musafir hun mujhe is ka guman bhi tha

    udhar jaana bhi tha lazim idhar majbur thi sohni

    ghaDa kachcha tha hathon mein udhar dariya jawan bhi tha

    sabhi shamil the yaro yun to gulshan ki tabahi mein

    ab itna saf kya kahiye ki un mein baghban bhi tha

    mere har zaKHm par ek dastan thi us ke zulmon ki

    mere KHun-bar dil par us ke hathon ka nishan bhi tha

    mukarta tha wo apne tir se to ek taraf 'azim'

    udhar thame hue ek hath mein zalim kaman bhi tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now