aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahraata hai KHwab sa aanchal aur main likhta jata hun

Javed Saba

lahraata hai KHwab sa aanchal aur main likhta jata hun

Javed Saba

MORE BYJaved Saba

    lahrātā hai ḳhvāb āñchal aur maiñ likhtā jaatā huuñ

    palkeñ niiñd se bojhal aur maiñ likhtā jaatā huuñ

    jaise mere kaan meñ koī chupke chupke kahtā hai

    ishq junūñ hai ishq hai pāgal aur maiñ likhtā jaatā huuñ

    chhoTī chhoTī baat pe us āñkheñ bhar bhar aatī haiñ

    phailtā rahtā hai phir kājal aur maiñ likhtā jaatā huuñ

    aañkh meñ us ke aks aahaT dastak detī rahtī hai

    bhar jaatī hai ashk se chhāgal aur maiñ likhtā jaatā huuñ

    maddham maddham saañs ḳhush-bū mīThe mīThe dard aañch

    rah rah ke kartī hai bekal aur maiñ likhtā jaatā huuñ

    dhīme suroñ meñ dard panchhī apnī dhun meñ gaatā hai

    pyāsī rūheñ pyaas jañgal aur maiñ likhtā jaatā huuñ

    us ke pyaar būñdeñ Tip Tip dil meñ girtī rahtī haiñ

    narm gudāz o shoḳh o chanchal aur maiñ likhtā jaatā huuñ

    lahraata hai KHwab sa aanchal aur main likhta jata hun

    palken nind se bojhal aur main likhta jata hun

    jaise mere kan mein koi chupke chupke kahta hai

    ishq junun hai ishq hai pagal aur main likhta jata hun

    chhoTi chhoTi baat pe us ki aankhen bhar bhar aati hain

    phailta rahta hai phir kajal aur main likhta jata hun

    aankh mein us ke aks ki aahaT dastak deti rahti hai

    bhar jati hai ashk se chhagal aur main likhta jata hun

    maddham maddham sans ki KHush-bu miThe miThe dard ki aanch

    rah rah ke karti hai bekal aur main likhta jata hun

    dhime suron mein dard ka panchhi apni dhun mein gata hai

    pyasi ruhen pyas ka jangal aur main likhta jata hun

    us ke pyar ki bunden Tip Tip dil mein girti rahti hain

    narm gudaz o shoKH o chanchal aur main likhta jata hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now