aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main shad tanha ek taraf duniya ki duniya ek taraf

Shad Azimabadi

main shad tanha ek taraf duniya ki duniya ek taraf

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    maiñ 'shād' tanhā ik taraf duniyā duniyā ik taraf

    saarā samundar ik taraf aañsū qatra ik taraf

    us āfat-e-jāñ ko bhī chehra to dikhānā na thā

    ik samt iisā dam-ba-ḳhud ġhash meñ hai muusā ik taraf

    apne samand-e-nāz ko ai shahsavār aa chheḌ kar

    saf-basta hāzir kab se haiñ mahv-e-tamāshā ik taraf

    saaqī baġhair ahvāl ye pahuñchā hai mai-ḳhāne ab

    jaam ik taraf hai sar-nigūñ ḳhālī hai miinā ik taraf

    furqat meñ sab achchhe rahe dil magar ye haal hai

    zaḳhm ik taraf baḌhtā gayā dāġh-e-suvaidā ik taraf

    dīdār-e-jānāñ bhalā kyuuñ kar tahammul ho sake

    tirchhī nigāheñ ek zulf-e-chalīpā ik taraf

    vo teġh le ke kahte haiñ dekhūñ to haq par kaun hai

    maiñ ik taraf 'shād' ik taraf saarā zamāna ik taraf

    main 'shad' tanha ek taraf duniya ki duniya ek taraf

    sara samundar ek taraf aansu ka qatra ek taraf

    us aafat-e-jaan ko bhi chehra to dikhana hi na tha

    ek samt isa dam-ba-KHud ghash mein hai musa ek taraf

    apne samand-e-naz ko ai shahsawar aa chheD kar

    saf-basta hazir kab se hain mahw-e-tamasha ek taraf

    saqi baghair ahwal ye pahuncha hai mai-KHane ka ab

    jam ek taraf hai sar-nigun KHali hai mina ek taraf

    furqat mein sab achchhe rahe dil ka magar ye haal hai

    zaKHm ek taraf baDhta gaya dagh-e-suwaida ek taraf

    didar-e-jaanan ka bhala kyun kar tahammul ho sake

    tirchhi nigahen ek su zulf-e-chalipa ek taraf

    wo tegh le ke kahte hain dekhun to haq par kaun hai

    main ek taraf 'shad' ek taraf sara zamana ek taraf

    Source:

    Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 203)

    • Author: Shad Azimabadi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now