aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere wajud ka mehwar chamakta rahta hai

Azhar Hashmi Sabqat

mere wajud ka mehwar chamakta rahta hai

Azhar Hashmi Sabqat

MORE BYAzhar Hashmi Sabqat

    mire vajūd mehvar chamaktā rahtā hai

    isī sanad se muqaddar chamaktā rahtā hai

    kisī mazār pe chhā.ī hai ḳhaak muflis

    kisī mazār patthar chamaktā rahtā hai

    ye kaisī rasm-e-halākat bhī ga.ī hai rivāj

    ye kaise ḳhuun manzar chamaktā rahtā hai

    mirī nigāh ko manzil raushnī hai aziiz

    balā se mel patthar chamaktā rahtā hai

    jo uTh ke ḳhaak se parvāz ujālā banā

    usī parinde shahpar chamaktā rahtā hai

    miTā ke hausle bātil ke aao sū-e-haq

    qadam baḌhāo ki rahbar chamaktā rahtā hai

    nujūm shams qamar aur jalne lagte haiñ

    suḳhan-varoñ meñ jab 'az.har' chamaktā rahtā hai

    mere wajud ka mehwar chamakta rahta hai

    isi sanad se muqaddar chamakta rahta hai

    kisi mazar pe chhai hai KHak muflis ki

    kisi mazar ka patthar chamakta rahta hai

    ye kaisi rasm-e-halakat bhi pa gai hai riwaj

    ye kaise KHun ka manzar chamakta rahta hai

    meri nigah ko manzil ki raushni hai aziz

    bala se mel ka patthar chamakta rahta hai

    jo uTh ke KHak se parwaz ka ujala bana

    usi parinde ka shahpar chamakta rahta hai

    miTa ke hausle baatil ke aao su-e-haq

    qadam baDhao ki rahbar chamakta rahta hai

    nujum shams qamar aur jalne lagte hain

    suKHan-waron mein jab 'azhar' chamakta rahta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now