mujhko ek arsa-e-dil-gir mein rakkha gaya tha
mujh ko ik arsa-e-dil-gīr meñ rakkhā gayā thā
zahr goyā kisī iksīr meñ rakkhā gayā thā
hāshiya matn samajh le jo paḌhe qissa-e-ġham
intizām aisā bhī tahrīr meñ rakkhā gayā thā
ḳhvāb-ālud nigāhoñ se ye kahtā guzrā
maiñ haqīqat thā jo tā'bīr meñ rakkhā gayā thā
'umr-bhar is liye barseñ mirī āñkheñ ai dost
ek sahrā mirī jāgīr meñ rakkhā gayā thā
merī āñkhoñ meñ har ik rang thā tanhā.ī kā
ik ḳhalā bhī mirī tasvīr meñ rakkhā gayā thā
mujh ko ek arsa-e-dil-gir mein rakkha gaya tha
zahr goya kisi iksir mein rakkha gaya tha
hashiya matn samajh le jo paDhe qissa-e-gham
intizam aisa bhi tahrir mein rakkha gaya tha
KHwab-alud nigahon se ye kahta guzra
main haqiqat tha jo ta'bir mein rakkha gaya tha
'umr-bhar is liye barsen meri aankhen ai dost
ek sahra meri jagir mein rakkha gaya tha
meri aankhon mein har ek rang tha tanhai ka
ek KHala bhi meri taswir mein rakkha gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.