nashat-e-fath se to daman-e-dil bhar nahin pae
nashat-e-fath se to daman-e-dil bhar nahin pae
Ghulam Husain Sajid
MORE BYGhulam Husain Sajid
nashāt-e-fat.h se to dāman-e-dil bhar nahīñ paa.e
magar kyuuñ hārne vaale mohabbat kar nahīñ paa.e
mudāvā kis tarah hogā vahāñ zangār-e-vahshat kā
agar kuchh aa.ine ham ne sitāroñ par nahīñ paa.e
fasīl-e-shahr se aage zarā sā dasht khiskā thā
aur is ke baa'd logoñ ne bahut se ghar nahīñ paa.e
sukūt-e-marg kyā TuuTe ki ham ne shahr se bāhar
daraḳhtoñ meñ parinde bhī ziyāda-tar nahīñ paa.e
kisī ne faqr se apne ḳhazāne bhar liye lekin
kisī ne shahryāroñ se bhī sīm-o-zar nahīñ paa.e
dayār-e-ishq ke paudoñ meñ ab bhī phuul aate haiñ
ki ham ne bhiik meñ 'sājid' kabhī aḳhgar nahīñ paa.e
nashat-e-fath se to daman-e-dil bhar nahin pae
magar kyun haarne wale mohabbat kar nahin pae
mudawa kis tarah hoga wahan zangar-e-wahshat ka
agar kuchh aaine hum ne sitaron par nahin pae
fasil-e-shahr se aage zara sa dasht khiska tha
aur is ke ba'd logon ne bahut se ghar nahin pae
sukut-e-marg kya TuTe ki hum ne shahr se bahar
daraKHton mein parinde bhi ziyaada-tar nahin pae
kisi ne faqr se apne KHazane bhar liye lekin
kisi ne shahryaron se bhi sim-o-zar nahin pae
dayar-e-ishq ke paudon mein ab bhi phul aate hain
ki hum ne bhik mein 'sajid' kabhi aKHgar nahin pae
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 388)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.