nazar mein yaadon ke manzar sameT kar rakhna
nazar meñ yādoñ ke manzar sameT kar rakhnā
maiñ jaisā chhoḌ ke aa.ī huuñ vaisā ghar rakhnā
udaas āñkhoñ se hoñ zindagī kī barsāteñ
tum apne lahje meñ aisā bhī ik hunar rakhnā
na TuuT jaa.eñ kahīñ hausle uḌānoñ ke
qafas se duur parindoñ ke bāl-o-par rakhnā
tumheñ milā hai khulā āsmān phailī zamīñ
ye hai buzurgoñ kā virsa sañbhāl kar rakhnā
zamīñ kā qarz utāro to apne kāñdhoñ se
phir us ke baad qadam mehr-o-māh par rakhnā
rahī hai jhuuT kī koshish har ik zamāne meñ
sajā ke nezoñ pe sachchā.iyoñ ke sar rakhnā
savāl pūchhegī duniyā qadam qadam pe 'nasīm'
nazar ko gardish-e-daurāñ se bā-ḳhabar rakhnā
nazar mein yaadon ke manzar sameT kar rakhna
main jaisa chhoD ke aai hun waisa ghar rakhna
udas aankhon se hon zindagi ki barsaten
tum apne lahje mein aisa bhi ek hunar rakhna
na TuT jaen kahin hausle uDanon ke
qafas se dur parindon ke baal-o-par rakhna
tumhein mila hai khula aasman phaili zamin
ye hai buzurgon ka wirsa sanbhaal kar rakhna
zamin ka qarz utaro to apne kandhon se
phir us ke baad qadam mehr-o-mah par rakhna
rahi hai jhuT ki koshish har ek zamane mein
saja ke nezon pe sachchaiyon ke sar rakhna
sawal puchhegi duniya qadam qadam pe 'nasim'
nazar ko gardish-e-dauran se ba-KHabar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.