Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahe raqib se baham wo sim-bar mahzuz

Mah Laqa Chanda

rahe raqib se baham wo sim-bar mahzuz

Mah Laqa Chanda

MORE BYMah Laqa Chanda

    rahe raqīb se bāham vo sīm-bar mahzūz

    huā na aah apne kabhī asar mahzūz

    dareġh chashm-e-karam se na rakh ki ai zālim

    kare hai dil ko mire terī yak nazar mahzūz

    na baar baar havas ho nabāt mujh ko

    rakhe jo ek bosa meñ lab-e-shakar mahzūz

    tamāsha ek ḳhudā.ī ham dikhāte haiñ

    to kījiye banda-navāzī hue ho magar mahzūz

    yahī duā hai ki 'chandā' dil alī valī

    tere karam se rahe shaam aur sahar mahzūz

    rahe raqib se baham wo sim-bar mahzuz

    hua na aah ka apne kabhi asar mahzuz

    daregh chashm-e-karam se na rakh ki ai zalim

    kare hai dil ko mere teri yak nazar mahzuz

    na bar bar hawas ho nabaat ki mujh ko

    rakhe jo ek hi bosa mein lab-e-shakar mahzuz

    tamasha ek KHudai ka hum dikhate hain

    to kijiye banda-nawazi hue ho magar mahzuz

    yahi dua hai ki 'chanda' ka dil ali wali

    tere karam se rahe sham aur sahar mahzuz

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    rahe raqib se baham wo sim-bar mahzuz Azra Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now