Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ret ki lahron se dariya ki rawani mange

Shahid Kabir

ret ki lahron se dariya ki rawani mange

Shahid Kabir

MORE BYShahid Kabir

    ret lahroñ se dariyā ravānī māñge

    maiñ vo pyāsā huuñ jo sahrāoñ se paanī māñge

    vo ḳhud-sar ki ulajh jaatā hai ā.īnoñ se

    maiñ vo sarkash ki jo tujh se tirā saanī māñge

    vo bhī dhartī pe utārī huī maḳhlūq hai

    jis kaaTā huā insān na paanī māñge

    abr to abr shajar bhī haiñ havā zad meñ

    kis se dam bhar ko koī chhāñv suhānī māñge

    uḌte pattoñ pe lapaktī hai yuuñ Daalī Daalī

    jaise jaate hue mausam nishānī māñge

    maiñ vo bhūlā huā chehra huuñ ki ā.īna bhī

    mujh se merī koī pahchān purānī māñge

    zard malbūs meñ aatī haiñ bahāreñ 'shāhid'

    aur rañg ḳhizāoñ bhī dhānī māñge

    ret ki lahron se dariya ki rawani mange

    main wo pyasa hun jo sahraon se pani mange

    tu wo KHud-sar ki ulajh jata hai aainon se

    main wo sarkash ki jo tujh se tera sani mange

    wo bhi dharti pe utari hui maKHluq hi hai

    jis ka kaTa hua insan na pani mange

    abr to abr shajar bhi hain hawa ki zad mein

    kis se dam bhar ko koi chhanw suhani mange

    uDte patton pe lapakti hai yun Dali Dali

    jaise jate hue mausam ki nishani mange

    main wo bhula hua chehra hun ki aaina bhi

    mujh se meri koi pahchan purani mange

    zard malbus mein aati hain bahaaren 'shahid'

    aur tu rang KHizaon ka bhi dhani mange

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ret ki lahron se dariya ki rawani mange Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now