aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabz-kheton se umaDti raushni taswir ki

Hammad Niyazi

sabz-kheton se umaDti raushni taswir ki

Hammad Niyazi

MORE BYHammad Niyazi

    sabz-khetoñ se umaDtī raushnī tasvīr

    maiñ ne apnī aañkh se ik harf-gah tāmīr

    sun qatār andar qatār ashjār sargoshiyāñ

    aur kahānī paḌh ḳhizāñ ne raat jo tahrīr

    kachchī qabroñ par sajī ḳhushbū bikhrī laash par

    ḳhāmushī ne ik na.e andāz meñ taqrīr

    bachpane dars-gāhoñ meñ purāne TaaT par

    dil ne hairānī pahlī bārgah tasḳhīr

    raushnī meñ raqs karte ḳhaak ke zarrāt ne

    intihā-e-āb-o-gil avvalīñ tafsīr

    kohsāroñ ke saroñ par bādaloñ pagḌiyāñ

    ek tamsīl-e-numāyāñ āya-e-tat.hīr

    dhund ke lashkar chāroñ or pahrā thā magar

    ik diye ne raushnī raat bhar tash.hīr

    aaj phir āb-e-muqaddas aañkh se hijrat kiyā

    ghar pahuñchne meñ kisī ne aaj phir tāḳhīr

    sabz-kheton se umaDti raushni taswir ki

    main ne apni aankh se ek harf-gah tamir ki

    sun qatar andar qatar ashjar ki sargoshiyan

    aur kahani paDh KHizan ne raat jo tahrir ki

    kachchi qabron par saji KHushbu ki bikhri lash par

    KHamushi ne ek nae andaz mein taqrir ki

    bachpane ki dars-gahon mein purane TaT par

    dil ne hairani ki pahli bargah tasKHir ki

    raushni mein raqs karte KHak ke zarraat ne

    intiha-e-ab-o-gil ki awwalin tafsir ki

    kohsaron ke saron par baadalon ki pagDiyan

    ek tamsil-e-numayan aaya-e-tathir ki

    dhund ke lashkar ka chaaron or pahra tha magar

    ek diye ne raushni ki raat bhar tashhir ki

    aaj phir aab-e-muqaddas aankh se hijrat kiya

    ghar pahunchne mein kisi ne aaj phir taKHir ki

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now