aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab wahi lekin sitara aur hai

Parveen Shakir

shab wahi lekin sitara aur hai

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    shab vahī lekin sitāra aur hai

    ab safar isti.āra aur hai

    ek muTThī ret meñ kaise rahe

    is samundar kināra aur hai

    mauj ke muḌne meñ kitnī der hai

    naav Daalī aur dhārā aur hai

    jañg hathiyār tai kuchh aur thā

    tiir siine meñ utārā aur hai

    matn meñ to jurm sābit hai magar

    hāshiya saare saarā aur hai

    saath to merā zamīñ detī magar

    āsmāñ ishāra aur hai

    dhuup meñ dīvār kaam aa.egī

    tez bārish sahārā aur hai

    hārne meñ ik anā baat thī

    jiit jaane meñ ḳhasārā aur hai

    sukh ke mausam uñgliyoñ par gin liye

    fasl-e-ġham goshvāra aur hai

    der se palkeñ nahīñ jhapkīñ mirī

    pesh-e-jāñ ab ke nazāra aur hai

    aur kuchh pal us rasta dekh luuñ

    āsmāñ par ek taara aur hai

    had charāġhoñ yahāñ se ḳhatm hai

    aaj se rasta hamārā aur hai

    shab wahi lekin sitara aur hai

    ab safar ka istiara aur hai

    ek muTThi ret mein kaise rahe

    is samundar ka kinara aur hai

    mauj ke muDne mein kitni der hai

    naw Dali aur dhaara aur hai

    jang ka hathiyar tai kuchh aur tha

    tir sine mein utara aur hai

    matn mein to jurm sabit hai magar

    hashiya sare ka sara aur hai

    sath to mera zamin deti magar

    aasman ka hi ishaara aur hai

    dhup mein diwar hi kaam aaegi

    tez barish ka sahaara aur hai

    haarne mein ek ana ki baat thi

    jit jaane mein KHasara aur hai

    sukh ke mausam ungliyon par gin liye

    fasl-e-gham ka goshwara aur hai

    der se palken nahin jhapkin meri

    pesh-e-jaan ab ke nazara aur hai

    aur kuchh pal us ka rasta dekh lun

    aasman par ek tara aur hai

    had charaghon ki yahan se KHatm hai

    aaj se rasta hamara aur hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Parveen Shakir

    Parveen Shakir

    Source:

    kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 235)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now