Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tah mein jo rah gae wo sadaf bhi nikaliye

Qateel Shifai

tah mein jo rah gae wo sadaf bhi nikaliye

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    tah meñ jo rah ga.e vo sadaf bhī nikāliye

    tuġhyāniyoñ haath samundar meñ Dāliye

    apnī hadoñ meñ rahiye ki rah jaa.e aabrū

    uupar jo dekhnā hai to pagḌī sañbhāliye

    ḳhushbū to muddatoñ zamīñ-doz ho chukī

    ab sirf pattiyoñ ko havā meñ uchhāliye

    sadiyoñ farq paḌtā hai lamhoñ ke pher meñ

    jo ġham hai aaj use kal par na Tāliye

    aayā thā abhī mire lab pe vafā naam

    kuchh dostoñ ne haath meñ patthar uThā liye

    kah do salīb-e-shab se ki apnī manā.e ḳhair

    ham ne to phir charāġh saroñ ke jalā liye

    duniyā nafrateñ mujhe qallāsh kar ga.iiñ

    ik pyaar nazar mire kaase meñ Dāliye

    mahsūs ho rahā hai kuchh aisā mujhe 'qatīl'

    nīñdoñ ne jaise aaj shab par lagā liye

    tah mein jo rah gae wo sadaf bhi nikaliye

    tughyaniyon ka hath samundar mein Daliye

    apni hadon mein rahiye ki rah jae aabru

    upar jo dekhna hai to pagDi sanbhaaliye

    KHushbu to muddaton ki zamin-doz ho chuki

    ab sirf pattiyon ko hawa mein uchhaaliye

    sadiyon ka farq paDta hai lamhon ke pher mein

    jo gham hai aaj ka use kal par na Taliye

    aaya hi tha abhi mere lab pe wafa ka nam

    kuchh doston ne hath mein patthar uTha liye

    kah do salib-e-shab se ki apni manae KHair

    hum ne to phir charagh saron ke jala liye

    duniya ki nafraten mujhe qallash kar gain

    ek pyar ki nazar mere kase mein Daliye

    mahsus ho raha hai kuchh aisa mujhe 'qatil'

    nindon ne jaise aaj ki shab par laga liye

    Source:

    Dastavez (Pg. 68)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2010
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now