tum ghair se milo na milo main to chhoD dun
tum ġhair se milo na milo maiñ to chhoḌ duuñ
gar is vafā pe koī kahe bevafā mujhe
sach hai tū bad-gumāñ hai samajhtā hai kuchh kā kuchh
bosa na lenā thā tire ā.īne kā mujhe
insāf kar ḳharāb na phirtā maiñ dar-ba-dar
miltī jo tere gosha-e-ḳhātir meñ jā mujhe
us but kī maiñ dikhā.ūñgā tasvīr vā.izo
phir kyā kahegā dāvar-e-roz-e-jazā mujhe
kyuuñ un se vaqt-e-qatl kiyā shikva ġhair kā
karnī thī maġhfirat hī kī apnī duā mujhe
pūchhe jo tujh se koī ki 'taskīñ' se kyuuñ milā
kah diijo haal dekh ke rahm aa gayā mujhe
tum ghair se milo na milo main to chhoD dun
gar is wafa pe koi kahe bewafa mujhe
sach hai tu bad-guman hai samajhta hai kuchh ka kuchh
bosa na lena tha tere aaine ka mujhe
insaf kar KHarab na phirta main dar-ba-dar
milti jo tere gosha-e-KHatir mein ja mujhe
us but ki main dikhaunga taswir waizo
phir kya kahega dawar-e-roz-e-jaza mujhe
kyun un se waqt-e-qatl kiya shikwa ghair ka
karni thi maghfirat hi ki apni dua mujhe
puchhe jo tujh se koi ki 'taskin' se kyun mila
kah dijo haal dekh ke rahm aa gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.