tum se ek din kahin milenge hum
tum se ik din kahīñ mileñge ham
ḳharch ḳhud ko tabhī kareñge ham
ishq! tujh ko ḳhabar bhī hai? ab ke
tere sāhil se jā lageñge ham
kis ne raste meñ ye umiid rakhī
is se Takrā ke gir paḌeñge ham
āsmānoñ meñ ghar nahīñ hote
mar ga.e to kahāñ raheñge ham
dhuup niklī hai terī bātoñ kī
aaj chhat par paḌe raheñge ham
jo bhī kahnā hai us ko kahnā hai
us ke kahne pe kyā kaheñge ham
rok leñge mujhe tire aañsū
aise paanī pe kyā chaleñge ham
vo sunegī jo sunñā chāhegī
jo bhī kahnā hai vo kaheñge ham
tum se ek din kahin milenge hum
KHarch KHud ko tabhi karenge hum
ishq! tujh ko KHabar bhi hai? ab ke
tere sahil se ja lagenge hum
kis ne raste mein ye umid rakhi
is se Takra ke gir paDenge hum
aasmanon mein ghar nahin hote
mar gae to kahan rahenge hum
dhup nikli hai teri baaton ki
aaj chhat par paDe rahenge hum
jo bhi kahna hai us ko kahna hai
us ke kahne pe kya kahenge hum
rok lenge mujhe tere aansu
aise pani pe kya chalenge hum
wo sunegi jo sunna chahegi
jo bhi kahna hai wo kahenge hum
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 33)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.