wo dost tha to usi ko adu bhi hona tha

Iqbal Sajid

wo dost tha to usi ko adu bhi hona tha

Iqbal Sajid

MORE BY Iqbal Sajid

  vo dost thā to usī ko adū bhī honā thā

  lahū pahan ke mujhe surḳh-rū bhī honā thā

  sunahrī haath meñ taaza lahū fasl na

  ki apne haq ke liye jañg-jū bhī honā thā

  bagūla ban ke samundar meñ ḳhaak uḌānā thī

  ki lahar lahar mujhe tund-ḳhū bhī honā thā

  mire harf dikhāte the merī shakl mujhe

  ye ishtihār mire rū-ba-rū bhī honā thā

  kashish thī phuul is meñ to lā-muhāla mujhe

  asīr-e-rañg giraftār-e-bū bhī honā thā

  sazā to milnā thī mujh ko barahna lafzoñ

  zabāñ ke saath laboñ ko rafū bhī honā thā

  safar bojh uThāne se peshtar 'sājid'

  mizāj-dān-e-rah-e-justujū bhī honā thā

  wo dost tha to usi ko adu bhi hona tha

  lahu pahan ke mujhe surKH-ru bhi hona tha

  sunahri hath mein taza lahu ki fasl na di

  ki apne haq ke liye jang-ju bhi hona tha

  bagula ban ke samundar mein KHak uDana thi

  ki lahar lahar mujhe tund-KHu bhi hona tha

  mere hi harf dikhate the meri shakl mujhe

  ye ishtihaar mere ru-ba-ru bhi hona tha

  kashish thi phul si is mein to la-muhaala mujhe

  asir-e-rang giraftar-e-bu bhi hona tha

  saza to milna thi mujh ko barahna lafzon ki

  zaban ke sath labon ko rafu bhi hona tha

  safar ka bojh uThane se peshtar 'sajid'

  mizaj-dan-e-rah-e-justuju bhi hona tha

  Source:

  • Book: kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 87)
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Added to your favorites

  Removed from your favorites