aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo sitam na Dhae to kya kare use kya KHabar ki wafa hai kya?

Kaleem Aajiz

wo sitam na Dhae to kya kare use kya KHabar ki wafa hai kya?

Kaleem Aajiz

MORE BYKaleem Aajiz

    vo sitam na Dhaa.e to kyā kare use kyā ḳhabar ki vafā hai kyaa?

    usī ko pyaar kare hai kyuuñ ye 'kalīm' tujh ko huā hai kyaa?

    tujhe sañg-dil ye pata hai kyā ki dukhe diloñ sadā hai kyaa?

    kabhī choT ne bhī khaa.ī hai kabhī terā dil bhī dukhā hai kyaa?

    ra.īs-e-shahr-e-sitam-garāñ maiñ gadā-e-kūcha-e-āshiqāñ

    amiir hai to batā mujhe maiñ ġharīb huuñ to burā hai kyaa?

    jafā meñ mast hai roz-o-shab maiñ kafan-ba-dosh o ġhazal-ba-lab

    tire ro.ab-e-husn se chup haiñ sab maiñ bhī chup rahūñ to mazā hai kyaa?

    ye kahāñ se aa.ī hai surḳh-rū hai har ek jhoñkā lahū lahū

    kaTī jis meñ gardan-e-ārzū ye usī chaman havā hai kyaa?

    abhī terā daur-e-shabāb hai abhī kyā hisāb-o-kitāb hai

    abhī kyā na hogā jahān meñ abhī is jahāñ meñ huā hai kyaa?

    yahī ham-navā yahī ham-suḳhan yahī ham-nishāñ yahī ham-vatan

    mirī shā.irī batā.egī mirā naam kyā hai patā hai kyaa?

    wo sitam na Dhae to kya kare use kya KHabar ki wafa hai kya?

    tu usi ko pyar kare hai kyun ye 'kalim' tujh ko hua hai kya?

    tujhe sang-dil ye pata hai kya ki dukhe dilon ki sada hai kya?

    kabhi choT tu ne bhi khai hai kabhi tera dil bhi dukha hai kya?

    tu rais-e-shahr-e-sitam-garan main gada-e-kucha-e-ashiqan

    tu amir hai to bata mujhe main gharib hun to bura hai kya?

    tu jafa mein mast hai roz-o-shab main kafan-ba-dosh o ghazal-ba-lab

    tere roab-e-husn se chup hain sab main bhi chup rahun to maza hai kya?

    ye kahan se aai hai surKH-ru hai har ek jhonka lahu lahu

    kaTi jis mein gardan-e-arzu ye usi chaman ki hawa hai kya?

    abhi tera daur-e-shabab hai abhi kya hisab-o-kitab hai

    abhi kya na hoga jahan mein abhi is jahan mein hua hai kya?

    yahi ham-nawa yahi ham-suKHan yahi ham-nishan yahi ham-watan

    meri shairi hi bataegi mera nam kya hai pata hai kya?

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Kaleem Aajiz

    Kaleem Aajiz

    Source:

    vo jo shairi ka sabab hua (Pg. 382)

    • Author: Kaliim aajiz
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now