aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadat se unki dil ko KHushi bhi hai gham bhi hai

Nizam Rampuri

aadat se unki dil ko KHushi bhi hai gham bhi hai

Nizam Rampuri

MORE BYNizam Rampuri

    aadat se un dil ko ḳhushī bhī hai ġham bhī hai

    ye lutf hai sitam bhī hai uzr-e-sitam bhī hai

    ulfat mujhe jatāte ho dil meñ bhī dard hai

    rone muñh banāte ho āñkhoñ meñ nam bhī hai

    is but vasl thā to ḳhudā.ī aish thā

    ye jānte na the ki zamāne meñ ġham bhī hai

    taskīn mere dil aur us bevafā qaul

    dil meñ fareb bhī hai laboñ par qasam bhī hai

    ab aao mil ke so raheñ takrār ho chukī

    āñkhoñ meñ niiñd bhī hai bahut raat kam bhī hai

    naumīdī bhī hai vasl se us ke umiid bhī

    kuchh dard-e-dil baḌhā bhī hai kuchh rañj kam bhī hai

    ye baat gar na ho to kare kaun hausla

    milnā kisī sahl bhī hai aur alam bhī hai

    jaatā hai shak bhī kar gayā hai vahm meñ vo shoḳh

    kūche meñ ġhair ke nishān-e-qadam bhī hai

    bāham tapāk bhī haiñ kabhī ranjisheñ bhī haiñ

    lutf-o-karam bhī hai kabhī jaur-o-sitam bhī hai

    aa jaa.eñ vo magar mujhe aatā nahīñ yaqīñ

    qāsid jo hai qaul vo ḳhat meñ raqam bhī hai

    bigḌe hue haiñ aaj ḳhudā ḳhair kare

    kuchh bal bhī hai jabīñ pe kuchh abrū pe ḳham bhī hai

    mar jaate ham to kab ke ajal dekhtī hai

    fursat kisī ke ġham se hameñ koī dam bhī hai

    kahne ko do makāñ haiñ kiiñ to hai ek

    bait-us-sanam hai jo vahī bait-ul-haram bhī hai

    yuuñ kah ke bhuul jaanā ye ḳhū aap hai

    mujh ko vo yaad ahd bhī hai vo qasam bhī hai

    jab kuchh kahūñ to kahte haiñ ye phir sunūñgā maiñ

    phir aisā koī vaqt bhī hai koī dam bhī hai

    kaisā visāl o hijr agar fahm hai 'nizām'

    har haal meñ judā bhī hai vo aur baham bhī hai

    aadat se un ki dil ko KHushi bhi hai gham bhi hai

    ye lutf hai sitam bhi hai uzr-e-sitam bhi hai

    ulfat mujhe jatate ho dil mein bhi dard hai

    rone ka munh banate ho aankhon mein nam bhi hai

    is but ka wasl tha to KHudai ka aish tha

    ye jaante na the ki zamane mein gham bhi hai

    taskin mere dil ki aur us bewafa ka qaul

    dil mein fareb bhi hai labon par qasam bhi hai

    ab aao mil ke so rahen takrar ho chuki

    aankhon mein nind bhi hai bahut raat kam bhi hai

    naumidi bhi hai wasl se us ke umid bhi

    kuchh dard-e-dil baDha bhi hai kuchh ranj kam bhi hai

    ye baat gar na ho to kare kaun hausla

    milna kisi ka sahl bhi hai aur alam bhi hai

    jata hai shak bhi kar gaya hai wahm mein wo shoKH

    kuche mein ghair hi ke nishan-e-qadam bhi hai

    baham tapak bhi hain kabhi ranjishen bhi hain

    lutf-o-karam bhi hai kabhi jaur-o-sitam bhi hai

    aa jaen wo magar mujhe aata nahin yaqin

    qasid ka jo hai qaul wo KHat mein raqam bhi hai

    bigDe hue hain aaj KHuda KHair hi kare

    kuchh bal bhi hai jabin pe kuchh abru pe KHam bhi hai

    mar jate hum to kab ke ajal dekhti hai tu

    fursat kisi ke gham se hamein koi dam bhi hai

    kahne ko do makan hain kin to hai ek hi

    bait-us-sanam hai jo wahi bait-ul-haram bhi hai

    yun kah ke bhul jaana ye KHu aap hi ki hai

    mujh ko wo yaad ahd bhi hai wo qasam bhi hai

    jab kuchh kahun to kahte hain ye phir sununga main

    phir aisa koi waqt bhi hai koi dam bhi hai

    kaisa visal o hijr agar fahm hai 'nizam'

    har haal mein juda bhi hai wo aur baham bhi hai

    Source:

    kulliyat-e-nizaam (Pg. 271)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now